Tweeter

Saturday, April 25, 2009

~ Mujhy Bass Itna Kehna Hai ~

~ Mujhy Bass Itna Kehna Hai ~
Kabhi Main Yaad Aao’n Tou
Kabhi Tanhai Ki Raatei’n
Tumhei’n Zyada Sataei’n Tou
Kabhi Titli Na Bole’y Tou
Kabhi Jugnoo Laut Jayei’n Tou
Kabhi Jab Dil Bhi Bhar Jaaye Tou
Koi Jab Sun Na Paaye Tou
Agar Sab Dost Saathi Bhi
Jo Tum Sy Rooth Jayei’n Tou
Kabhi Jab Khud Sy Lad Lad Kar
Thakan Sy Choor Ho Jao Tou
Kabhi Chahty Bhi Huey Akeley
Ro Na Pao Tou
Apni Aankho’n Ko Band Karna
Mujhy Aawaz Dena
Aur…!!!
Phir Mere Tasawur Sy
Jo Chaho Keh Dena
Mere Kaandhy Py Sar Rakh Kar
Tum Jitna Chaho Ro Lena
Phir Jab Khud Mein Laut Jao Tou
Issi Dunya Mein Chaley Jana
Magar Bass Itna Kehna Hai
K Jab Bhi Dukh Ya Khushiyo’n Mein
Humei’n Dil Sy Pukaro Gy
Humei’n Saath Pao Gy
Humei’n Paas Pao Gy….!!

Ik Saal Purana Qissa Hai

Ik Saal Purana Qissa Hai

Ik Larka Tha Deewana Sa

Karta Tha Manmana Sa

Wo Shokh Shokh Chanchal Sa

Mehka Mehka Pagal Sa

Ik Roz Muhabbat Ker Betha

Or Ab K Sal Ka Qissa Hai

Ab Wo Mazi Ka Hissa Hai

Wo Pyaar Pe Jaan Ko Waar Gya

Or Apne Aap Ko Maar Gya

Sare Jag Se Jeet Gya

Bas Apne Aap Se Haar Gya . .

Qarar De K Kabhi

Qarar De K Kabhi
Be-Qarar Kerty Ho
Galey Laga K Kaho
Kitna Pyar Kerty Ho

Nazar Nazar Sy Miley
Aur Khumaar Aa Jaye
Labo’n Sy Kuch Na
Kaho Aitbaar Aa Jaye

Ye Dil Tou Bharta Nahi
Chand Mulaqato’n Main
Kitne Tarasty Rahy
Bheegi Bheegi Raato’n Main

Taweel Rasta Kyun
Ikhtiar Kerty Ho
Galey Laga K Kaho
Kitna Pyar Kerty Ho !!

Mere Sabr Ka Na le Imtehaan

Mere Sabr Ka Na le Imtehaan
Meri Khaamoshi Ko Sada Na De

Jo Tere Bina Jee Na Sake
Use Jeene Ki Tu Dua Na De

Mere Jism-o-jaan Ka Yeh Faaslaa
Kahin Waqt Aur Badha Na De

Tujhe Bhool Kar Na Bhula Sakun
Tujhe Chah Kar Bhi Na Paa Sakun

Meri Hasraton Ko Shumaar Kar
Meri Chahaton Ka Sila Na De

Woh Tadap Jo Shula-e-jaan Mein Thee
Mere Tan Badan Se Lipat Gayee

Jo Bujha Sake Tu To Bujha Ise
Na Bujha Sake To Hawa Na De

Tujhe Gar Mile Kabhi Fursatein
To Meri shaam Phir Se Sanwaar De

Gar Katl Karnas Hai To Katl Kar Yun
Par Judaaiyon Ki Saza Na De

Dreechay Sy Jhankti Woh Larki,

Dreechay Sy Jhankti Woh Larki,
Ajab Dukh sy Bhari Hui Hai,

K Us K Angan Main Phool Par Ik,
Tittli Mari Hui Hai,

Kabhi Azano Main Khoi Khoi,
Kabhi Namazon Main Roi Roi,

Woh Aese Dunya Ko Dekhti Hai,
Jese Is Sy Dari Hui Hai,

Dard Sy Mehki Sansain,
Wazeefa Parthi Hui Wo Ankhen,

K Sham-E-Umeed In Main Kai Bars Sy Dhari Hui Hai,

Woh Dukh Ki Chadar Main Lipti Lipti,
Woh Kale Kapron Main Simti Simti,

Mohabbat Us Ny Kisi Sy Shayad Meri Tarah Ki Hui Hai

main ne jo diivaar banaaii hai

ik-ik patthar jod ke main ne jo diivaar banaaii hai
jhaankhuu us ke piichhe to rusvaaii hii rusvaaii hai

youn lagataa hai sote jaagate auroon kaa mohataaj huun main
aankhein merii apanii hain par un mein niind paraaii hai

dekh rahe hain sab hairat se niile-niile paanii ko
puuchhe kaun samandar se tujh mein kitanii gaharaii hai

sab kahate hain ik jannat utarii hai merii dharatii par
main dil mein sochuun shaayad kamzor merii biinaaii hai

baahar sahan mein peidoon par kuchh jalate bujhate juganuu the
hairat hai phir ghar ke andar kis ne aag lagaaii hai

aaj huaa maaluum mujhe is shahar ke chand sayaanon se
apanii raah badalate rahanaa sabase baddii daanaaii hai

todd gaye paimaan-e-vafaa is daur mein kaise kaise log
ye mat soch ‘Qateel’ ki bas ik yaar teraa harajaaii hai

Yehi aarzoo rahi umr bhar

Yehi aarzoo rahi umr bhar k muhabbaten mery saath hon
kabhi aesa ishq nahin kiya k nadaamten mery saath hon

koi aesa harf nahin likha k ho sharm saar qalm mera
koi aesa jurm nahi kiya k wazahten mery saathon

faqt aik shakhs ki aarzoo m guzar rahi hai yeh zindagi
yeh talab nahin k tamaam sheher ki chahten mery saath hon

jo main jaagta hoon to is liye k kisi ko neend ot aasaky
meri subh us p nisaar ho meri zulmaten mery saath hon

main kisi adalat-e-ishq main’ae mery khuda’rahoon sur kuroo
kaf-e-dast par mera dil rahy’meri tohmaten mery saath hkon

yeh nahin k rah m jo mily usy hamsafar hi banaoon
jo tamaam umr nabha saken woh rafaqten mery saath hon

mujh rasmi sa mel jol’pasand hi nahin jan-e-man!
main yeh chahta hoon k jo tu mily’meri wehshaten mery saath hon

nahi kar saktey

Dukh ki taskeen risaley to nahi kar saktey
Ye fasane, ye maqaley to nahi kar saktey

Roshni chahiye lekin isi ik skauk mai ham
Ghar ko sholo’n k hawaley to nahi kar saktey

Noor ki rah mai deewar utthane waley
Qaid suraj k ujaley to nahi kar saktey

Raig e sehra hi sunaye gi safar ki roodad
Guftugu pao’n k chhaley to nahi kar saktey

Kaise aashiq hain k khush hain teri ruswai par
Yoo’n kabhi chahney waley to nahi kar saktey

Bad ghuma’n ham se hain kutch laug to majboor hain ham
Saaf har zehn k jaley to nahi kar saktey…!!!

Aik aansu meri palkon pe

Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi
Laog kehtay hain charaghaan to charaghaan hi sahi

Hum ne har daor mein raaton se baghawat ki thi
Aaj pabandi-e-aaien shabistaan hi sahi

Meri taqdeer mein phoolon ka tassawur bhe mahal
Koi gulshan bakaf-o-khuld badamaan hi sahi

Mujh pe jo beet gai beet gai beet gai
Meri hasrat teray chehray se numayan hi sahi

Mar.ghaton per nai bunyaad-e-makan rakhain gai
Kar-e-tehzeeb Raqeeb-e-ser-o-samaan hi sahi

Kitni Aankhain huien be nar tujhay kiya maloom
Kar-e-nazarah teri bazm mein asaan hi sahi

Jabr Ke Zulm Laye huway san.natay mein
Koi shorsh koi halchal koi toofaan hi sahi

Yeah bhe kya kam hai ke hum chonktay hain jagtay hain
Zindegi silsila-e-khuwaab perishaan hi sahi

Bhairriyon ko nah yeah tareekh khula choray gi
Bhairriye asmat-e-aadam ke nigehbaan hi sahi

Zulm har rang mein pehchaan liya jaye ga
Tera daman hi sahi mera girebaan hi sahi

dikha diya..

Pucha k ro0h nikLti hai
jism se kis tarah?
Hath us ne hath0n se chUra
kar dikha diya..

Pucha k mehshar se pehLe
qayamat hai kia?
NaqaB us ne rukh se utha
kar dikha diya..

Pucha k yeh har taraf khizan
c kya lagti hai?
MehfiL se khud k0 utha
kar dikha diya..

Pucha k 1 dia j0 hawa se
na bujh sakay
Dia us ne wafa ka jala kar
dikha diya..

Pucha k aakhir yeh hasad
hai kya cheez?
Us ne kisi 0r k0 apna bana
kaR dikha diya …….

Wo Jo Dawey Dar Hai

Wo Jo Dawey Dar Hai Shehar Mai K Sabhi Ka Nabz Shanas Hun
Kabhi Aa Key Mujhse To Pochta K Mai Kis K Gham Mai Udass Hun

Yeh Meri Kitab-E-Hiyat Hai Ise Dil Ki Aankh Se Parh Zara
Mai Warq Warq Tere Samne Tere Ru Baru Tere Pass Hun

Yeh Teri Umeed Ko Kia Hua Kabhi Tune Ghour Nahi Kia
Ksi Sham Tune Kaha To Tha Teri Sans Hun Teri Aas Hun

Yeh Teri Judai Ka Gham Nahi K Yeh Silsiley To Hain Roz K
Teri Zaat Is Ka Sabab Nahi Kai Din Se Yunhi Udass Hun

Ksi Or Ki Ankh Se Dekh Kar Mujhe Aise Wase Laqab Na Dey
Tera Aietbar Hun Jan-E-Man Na Guman Hun Na Qayas Hun

Ek r0z tum ne thama tha

Ek r0z tum ne thama tha
hath mera

Mere hath se tumhare hath ki
khushbu nahi jati

Tum b0hat pyar se pukarte
thay naam mera

Mere kan0 se tumhari w0h
awaz nahi jati

Main bulata bhi nahi tha 0r
tum aajate thay

Ab bulane par bhi meri awaz
tum tak nahi jati

Bas chuke h0 tum meri nus
nus mein lahu ki tarah

Meri ulfat tumhari ro0h mein
uTar kYUn nahi jaTi ??

Main janta hun yeh shehR
Yeh raaste
tumhare naHi

Phir bhi meri aaNkh0n se
intezar ki aDat naHi jaTi …..

What Happened to us

What Happened to us I cannot comprehend

Mourning at your loss we were stunned

Lovely smiling figure thought of u as piece of art

How can u go away despite being active and smart?

Today everyone mourns at your tragic departure

This event shook us up in form of big disaster

I cannot buy the words that can explain you

Words of this kind are too expensive when it comes to you

Even this day your solitary figure flashes across my mind

So charming u were, the very one of your own kind

Mists in my eyes blur every image of you

U were indeed lovable MAY GOD BLESS YOU.

Zinagi Per KiTab Kya Likhoon

Zinagi Per KiTab Kya Likhoon
ab gye shab kay Khawab Kya likhoon

Zindagi tu Guzar Gye Mayri
zindagi kay Azab kya Likhoon

Zakham seenay kay Chup nai Patay
un ka Ahd-e-Shabab Kya likhoon

Woh Mayri Khawahishoon ka Qatil hay
us ko izat Ma-Aab Kya likhoon

Dasht main bay hisab bikhray howay
pathroon ko Gulab Kya likhoon

Jab Mezan aik Qaim hay
phir Gunah Sawab Kya likhoon

hay MuKamal kitab-e-dil Mayri
Tu Bata Intisaab Kya likhoon

Barra dushwaar hota hay..

Barra dushwaar hota hay..
Zraa sa faisla kerna…
K zindagi ki Kahaani ko…
Bayaan-e-bazabani ko…

Kahaa’n say yaad rakhna hay…
Kahaa’n say bhool jana hay…
Kisay kitna bataana hay…
Kis say kitna chhupaana hay…

Kahaa’n ha’ns ha’ns k rona hay…
Kahaa’n ro ro ka has’naa hay…
Kahaa’n awaaz daini hay…
Kahaa’n khaamosh rehna hay…

Kahaa’n rastaa badlna hay…
Kahaa’n say lout aana hay…
Barra dushwaar hota hay..

mohabat phir mohabat hay

mohabat phir mohabat hay
kabhi dil say nahi jati…

lakhon rang hein is kay..
ajab hi dhang hein is k..,

kabhi sehra..,
kabhi deriya..,
kabhi jugno..,
kabhi anso..,

hazaron roop rukhti hay..
badan jhulsa k jo rakh day..
kabhi woh dhoop rakhti hay…,

kabhi ban ker yeh eik jugno.
shabe gham ki andheron mein..
dilon ko aas deti hay…….,

kabhi manzil kinarey per..,
sadyon k musafir ko..,
faqat eik piyas deti hay..
Aziyat hi Aziyat hay…,

mohabat phir mohabat hay
kabhi dil say nahi jati…!!!

Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay,

Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay,
Chand logon ki khushyon ko lay ker chalay,
Wo jo saye main har maslihat kay palay;
Aisay dastoor ko,
Subh e bay noor ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta

Main bhee kha’if naheen takhta e daar say,
Main bhee Mansoor hoon, keh do aghyaar say,
Kyun daraatay ho zindaan ki divar say,
Zulm ki baat ko,
Jehel ki raat ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Phool shaakhon pay khilnay lagay tum kaho,
Jaam rindon ko milnay lagay tum kaho,
Chak seenon kay silnay lagay tum kaho,
Iss khulay jhoot ko,
Zehan ki loot ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Tum nay loota hai sadyon hamara sakoon,
Ab na hum per chalay ga tumhara fasoon,
Chara gar main tumhain kiss tara say kahoon?
Tum naheen charaagar,
Koi maanay magar,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Kisi Lerki Say Mat Kehna

Kisi Lerki Say Mat Kehna
Kay Us Say Pyar Kertay Ho
Ager Ek Bay Dhayani Main
Yeah Iqrar Ker Bethay
Kisi Say Pyar Ker Bethay
To Phir Wadoon Ki DoRoon Main
Ualajh Ker Toot Jao Gay
Tumharay Pyar Ka Us Ko
Ager Ehsaas Ho Jayay
To Ho Sakta Hai Tum Us Ka
Rang-O-Roop Ban Jao
Mohabbat Kay Safar Main Shayad
Aaisa Morr Aajayay
Kay Tum Narazgi Ka
BerMila Izhaar Ker Bethay
Koi Inkaar Ker Bethay
To Yeah Samjhoo Koi Sheesha,
Koi Dil Toot Jaye Ga
Kay In Kay Dil Bohat Nazuk,
Bohat Kumzoor Hotay Hain
Kisi Lerki Kay Dil Ka Tootna Bhi
Mout Hoti Hai
Kisi larkii se na kehna
K Us say Pyar karte ho

I have a friend

Around the corner I have a friend
In this great city that has no end.

Yet the days go by and weeks rush on
And before i know it, a year is gone.

And i never see my old friend’s face
For life is a swift and terrible race.

He knows i like him just as well
As in the days when i rang his bell.

And he rang mine but we’re younger then
And now we’re busy tired men.

Tired of playing fulish game
Tired of trying to make a name.

Tommorow i say i’ll call on him
Just to show that i m thinking of him.

But tommorow comes and tommorow goes
And distance between us grows and grows.

Around the corner yet miles away
Here is a telegram he is died today

And that is what we get and deserve in the end
Around the corner a vanished friend.

Thursday, April 23, 2009

koi aaya bohat hai...

Aaj Qabar ki mitti main kuch nami si hai...
Ahle Qabar ko yaad koi aaya bohat hai...

Farishto tumhare sawaloon jawaboon ka aadi hoon main...
Sari zindagi duniya ne aazmaya bohat hai...

Ab to sone do hame sukoon se Qabar main apni...
Ta umer intezaar ne hume jagaya bohat hai...

Ab tak beh rahe hain aasoo bheega hua hai kafan...
Dushmano tum dena muje kandha, dosto ne sataya bohat hai...

Darta hoon koi samaj na bhaithe isse doli dulhan ki...
Mere janaze ko logon ne sajaya bohat hai...

Roo deta hoon jab bhi guzarta hoon Ghayel ke mazar se...
Kambakht ne jeete jee muje hasaya bohat hai.............!!!!!

Kuch Pal


Tum Jao Hum Se Dor Tu Ek Kam Kar Jana
Kuch Pal Apne Hamare Naam Kar Jana

Agar Aa Jaye Mout Hamein Tere Aane Se Pehle
Tu Aa Kar Mere Janaze Ka Ehtiram Kar Jana

Na Rona Is Qadar Ke Taklef Ho Hamein
Mout Ko Bhi Mazak Samjh Kar Anjan Ban Jana

Mein Ek Din So Jaon Ga Sada Ke Liya
Phir Mujhe Bewafa Keh Ke Badnaam Kar Jana

Jo Guzro Meri Qabar Se Tu Nazren Na Pherna
Mehman Hi Ban Ke Dua Salam Kar Jana

Wo pani ki lahron pe

Wo pani ki lahron pe kia likh rahi thi,
Khuda janay harf-e-dua likh rahi thi
Likha jis nay nawal wafa ka adhora,
Wohi pyar ki inteha likh rahi thi
Bhala kartay kartay guzari jawani,
Magar phir bhi khud ko bura likh rahi thi
Muhbat mein nafrat mili thi usay bhi,
Jo har shakhas ko bawafa likh rahi thi,
Zara us ki aankhon say aanso na niklay,
Wo jis waqt lafz saza likh rahi thi
Namaz-e-muhbat mein wo apnay,
Hoay thay jo sajday qaza likh rah thi

Mujhe Yaad Koi Dua Nahin

Mujhe Yaad Koi Dua Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,
Tu Meri Jabeen Pe Likha Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Abhi Rasta Bhi Hai Dhool Main Abhi Faida Bhi Hai Bhool Main,
Abhi Mujh Ko Tujh Se Gila Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Main Janam Janam Se Naraz Hoon Main Janam Janam Se Udaas Hoon,
Main Kahbi Bhi Khul Ke Hansa Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Tu Hai Khuwab Khuwab Pukarta Meri Ankh Main Nahin Ashk Bhi,
Main Muddaton Se Jiya Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Tujhe Khushbuoon Ki Hai Arzoo Tujhe Roshni Ki Hai Justujo,
Main Hawa Nahin Diyya Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Tujhe Ansuoon Ka Pata Nahin Tujhe Ratjagon Ka Guman Nahin,
Tujhe Es Se Agay Pata Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Kahin Chhoot Sakta Hai Darmiaan Na Zameen Mile Gi Na Asmaan,
Tujhe Rastay Ka Pata Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Mujhe Dhoondta Hi Phire Ga Tu Na Jiye Ga Roz Maray Ga Tu,
Main Kabhi Bhi Ghar Pe Mila Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Kaho Lautna Hai Kise Yahan Merey Dard Sun Mere Meharban,
Mere Paas Waqt Zara Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,

KASH AISE GUZRE YE ZINDAGI

KASH AISE GUZRE YE ZINDAGI

MERA NAFS TERI TEHVEEL MEIN HO

MERI HER DUA TUJHE QABOOL HO

MERI HER DUA MEIN TERI TALAB HO

TERA HER GAAM MERI MANZIL HO

AOR MERI MANZIL TERA HASOOL HO

MERA HER QADAM TERI RAH MEIN HO

MERA HER QADAM TERI CHAH MEIN HO

JO TUU MERA GHAM KHWAR HO

TO KION NA GHAM AZEEZ HO

KASH AISE GUZRE YE ZINDAGI

MAIN TUJE AZEEZ HON

TU MUJE AZEEZ HO

JAGTI ANKHON MEIN

JAGTI ANKHON MEIN CHUND KHWAAB REHNE DO
GAYE MAUSMON KA AB HISAAB REHNE DO

KAL AGER BICHAR GAYE TO YAAD DILAYE GA YE
HUMARE SAATH AANSO'ON KA SAILAAB REHNE DO

JO HUMNE KAHI THIN TUMHEN KHAT MEIN KABHI
UN BATON KA JWAB REHNE DO

SAJAO TUM KISI AOR KI DUNIA KHUSHI SE
HUMARI ANKHON KO YONHI BEKHWAB REHNE DO

HUM KANTON K AADI HAIN DOSTO
KISI AOR KO DAY DENA..YE GULAAB REHNE DO

Usay maine hi likha tha

Usay maine hi likha tha
Ke lehjey barf ho jayein
To phir pigla nahi kartey
Parinday darr k urr jayein
Tho phir lota nahi kartey

Usay maine hi likha tha
Yaqeen uth jaye tho shayed
Kabhi wapis nahi aata
Hawa'on ka koi toofaan
Kabhi barish nahi lata.........!!!

Usay maine hi likha tha
Ke sheesha too't jaye tho
Kabhi phir jurr nahi pata
Jo rastey se bhatak jaye
Wo wapas murr nahi pata

Usay kehna woh be'ma'eni adhoora khat
Usay maine hi likha tha
Usay kehna k deewanay...........!!!
mukammal khat nahi likhtey...!

dard phail jae to…

dard phail jae to…
Aik waqt aata hay
Dil dharakta rehta hay
Aarzu gazeedon kay, hoslay nahin chaltay
Dasht-e-bey yaqeeni mein
Aasray nahin chaltay
Reh rawon ke aankhon mein
Manzilain na jab tak hon
Qaflay nahin chaltay
Ik zara tawajjah sey, dekhiye to khulta hay
Loag un pey chaltay hain
Raastay nahin chaltay
Sochnay,samajhnay sey
Saath saath chalnay sey
Dooriyan simat te hain
Faslay,nahin chaltay
Bakht saath chalta hay
Tala’a aazmaon kay
Waqt raam kernay mein
Tajzeyon kay dao kia!!
Tajrubay nahin chaltay
Ishq kay elaqay mein, hukm-e-yaar chalta hay
Zaabtay nahin chaltay
Husn ki aadalat mein
Aajizi to chalti hay
Martabay nahin chaltay
dOsti kay rishton ke
perwarish zaroori hay
silsilay ta’alluq kay
khud sey ban to jatay hain
lekin………..
in shagufon ko tootnay, bikhernay sey
rokna bhe perta hay
chahaton ke mitti mein
aarzoo kay podon ko ,seenchna bhe perta hay
ranjishon ke baton ko,bhoolna bhe perta hay….!!!

Kaho dukh k samander ka

Kaho dukh k samander ka safar ab tak raha kaisa..?

Kaha ujlay kinaaro'n ka koi imkaan daikha hay...


Kaho derya kinaaro'n say bhhala kya guftugoo thehri..

Kaha derya ko apnay zabt pay hairaan daikhha hay...


Kaha kyun kis liyay khhola yeh tum nay dilka drwaza

Bataaya dil k rasto'n per koi mehmaan daikhha hay...


Kaho us ishq ki baabat, bhhala kya had rahi ho gi..?

Kaha woh ishq jaisay rooh ka sartaan daikhha hay...


Kaho us say bichharrnay ki, tumhain manzoor yeh hoga

Kaha jeenay ki khuwaahish ko kabhi qurbaan daihha hay...


Kaho phir tum pay kya guzri, woh khuwaab-e-zindagi khho ker..?

Kaha kal apni aankho'n ko bohot bay-jaan daikhha hay...!

Hum jo toote to is tarah

Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote

Meri galtion ko chuna kro,

Meri galtion ko chuna kro,
Meri larzisho ko gina kro,
Ye
Qadam qadam ki hadod kya?
Mere sath sath chala kro!
Main khule mizaj ka shaks hon,
Main takalufat se hun mavara,
Ye mehrbani k jo lfz hain,
Inhe tm na muj se kia karo;
Kahin tum na ho jao besakon!
Koi badua tumhen kha na le!
Ye jo khoye khoye se log hain...
Inhe dekh kr na hansa kro
Ye Dua hay Rabekarim se,
Teri tazgi ko khizan na ho,
Ye bahar tm se jala kre,
Sada muskurate rha kro...!!!

Mujhe koi aisa raasta bata

Mujhe koi aisa raasta bata
Ke jis per chal kar
Mein tujhe bhool sakoon
Ya phir
Mujhe koi aisi raah dikhlaa
Jis per chaltay huwe
Mein tere saath guzre huwe
Lamhoon ki rafaaqat
Ek khwaab samajh kar
Bhula sakoon
Ya phir
Mujhe koi aisi simt bataa
Jahaan jatay huwe
Mein tujhe na sochoon
Na hi tujhe yaad karoon
Aur
Agar aisa koi raasta
Aisi koi raah
Aisi koi simt
Nahe hai tere paas
Tu phir
Mujhe mere haal pe chor day.......

Nateeja aik hai apnaa!

Tumhain daikhaa nahi
Jana nahi
Phir bhi ye lagtaa hai

Qabeela aik hai apnaa!!!!!

Wohi dard-e-judai hai
Wahi bheegi hui palkain

Naseeba aik hai apna!!!

Kisi se kuch nahi kehnaa
Koi shikwaa nahi karnaa

Qarenaa aik hai apnaa!!

Kisi ki yaad se
Weran-i-dil jagmaga lainaa

Khazeena aik hai apnaa!!

Yaqeen ki akhri had tak
Milan ki khushgumani hai

Nateeja aik hai apnaa!

Kehnay Ko

Kehnay Ko Us Say Mera Koi Waasta Nahi
Amjad magar Woh Shakhs Mujhay Bhoolta Nahi

Darta Hoon Aankh Kholoon To Manzar Badal Naa Jayey
Main Jaag To Raha Hoon Magar Jaagta Nahi

Aashaftagi Say Uski Usay Bay Wafa Naa Jaan
Aadat Ki Baat Aur Hay Dil Ka Bura Nahi

Tanha Udaas Chaand Ko Samjho Naa Bay Khabar
Har Baat Sun Raha Hay Magar Bolta Nahi

Khamosh Ratjagoun Ka Dhuwaan Tha Chahar Soo
Nikla Kub Aaftaab Mujhay To Pata Nahi


Amjad Woh Aankhain Jheel See Gehri To Hain Magar
Un Main Koi Bhi Aks Meray Naam Ka Nahi..............!!!

Tumhain Janan Ijazat Hai

Tumhain Janan Ijazat Hai
K in Tareek Rahon Par
Thakan Si Khud Mein Pao to
Andheron Se Kabhi Dil Dol Jae
Thak Si Jao To
Mere Jalte Hue Lamhon
Mere Bekangal Hathon Se Chora K Apne Hathon Ko

Fiza Ki Naghmagi Se tum Nae Geeton Ko Chun Lena
Haseen Palkon Ki Nokon Par Nae Khawab Bun Lena

Koi Gar Pooche Mera To Usse Zikar Mat Karna
Mere Jeevan Ki Jalti Dopahar Se Begharz Ho Kar
Tum Apni Chandni Raton Mein Jugnoo Palti Rehna
Meri Tanhaiyon Ki Wehshaton Ki Fikar Mat Karna

Tumhein Is Ki Ijazat Hai

Mere Sab Khat Jala Dena
Mere Tehfoon Ko Darya Mein Baha Dena
Meri Har Yad Ko Dil Se Khurachna
Or
Mita Dena

Tumhain Bilkul Ijazat hai

K Jab Chaho Bhula Dena
Magar Itni Guzarish Hai
Agar Aisa Na ho Janan
To Acha Hai Na............ !!

anaa k hote hain

Qurb k na wafa k hote hain
Saray jhagray anaa k hote hain

Baat niyat ki sirf hai warna
Waqt saray dua k hote hain

Bhool jate hain, mat bura kehna
Log putlay khata k hote hain

Wo bazahir jo kuch nahi lagte
Unse rishtay bala k hote hain

WO HAMARA HAY IS TARAH SAY FAIZ ~'
JAISAY BANDE KHUDA K HOTHE HEIN ......!!!

Wednesday, April 22, 2009

From Diljale

Ek pal mein jo aakar gujar jaaye yeh hawa ka woh jhoka hai ..aur kuch nahi
Pyar kahti hai duniya jise,ek rangeen dhokha hai .. aur kuch nahi

Aarzoo jhooth hai, Aarzoo ka fareb khana nahi ..
Khush jo rahna ho zindagi me tumhe..Dil kabhi kisi se lagana nahi.

Kyuon Banati ho tum ret ke mahal,
Jise khud hi tod dalogi tum
Aaj kehti ho is dijlale se pyar hai tumhe,
Kal to mera naam tak bhul jayogi tum

Friday, April 17, 2009

My Fav 1 Aisa Ho Nahi SakTa

Zamanay Main Bhi Dhoondo Gay To Humsa Ho Nahi Sakta
Humto Sada Usay Hi Chahtay Hain Jo Apna Ho Nahi Sakta
Buhat Ujraa Huaa Dil Hai Mager Apna To Aqeeda Hai
Jahan Mehkain Teri Yaadain Woh Sehra Ho Nahi Sakta
Kisi Ki Yaad Ab Tak Mere Bister Per Soti Hai
Shab-e-Tanhaye Se Kehdo Main Tanha Ho Nahi Sakta
Kuch To Apni Bhi KhataYen Thi Wabalay Zindagi Main
Sab Hi Kuch To Muqadder Ka Likha Ho Nahi Sakta
Judayee Ho Gaye Aur Abbhi Dono Hi Jeetay Hain
Kabhi Dono Hi Kehtay Thay Aisa Ho Nahi SaKta...!!!!!

I Promise You

To be with you each night
watching it slip into each new day
the sun brings the promise
of my devotion in every way.

To watch the years
blend into years
being the keeper of your dreams
the conquer of your fears.

To have you feel the passion
only hearts in love can feel
from this moment on
proving my love is real.

I will give my love freely
in everything we do
spending the rest of my lifetime
whispering words of love to you.

No more broken hearts
or unhappy memories
never any fallen tears
where smiles should be...

Thoughts Of You

A cool breeze subsides
as I think of you,
and all the things we'd love to do,
to take advantage of our every lonely chance,
and make sweet love in deep romance.
the touch of your skin,
the smile on your face,
it makes my heart so ever race,
you bring me joy each day I live,
so you alone my love I'll give.

Let Me Dream

How cloudless the skies are today
More beauty than this you can't find
But loneliness fills my body
And you...
You fill my mind.

My arms they ache to hold you
My heart...
To love at will
And this fire that burns within me
It feels as if it could kill.

Let me dream a little longer
Warm sweet
Dreams of you
Say maybe someday you'll come home to me
and all my dreams come true.

Oh my forever love...

Oh my forever love...
The day has new meaning,
and the night holds a world to be explored...
A love has formed from nothingness...
You were not and then you were...
An unknown awaiting my discovery...
You are my long lost love from before I even was...
You found me thru time and distance...
Two separate entities that now are one...
I long to see your face and hold you in my arms,
as now I hold you in my heart...
You are my forever love...
No beginning nor ending...
Oh my forever love...

The eyes are the mirror

The eyes are the mirror
Of somebody's heart.
You can look and discover
Everything about that part.

When they are sad
You will see their pain
You will see the hurt inside
Even if they don't complain.

When they are happy
Their eyes will shine.
You will see the sparkles
So bright, so fine.

When there is love
You will see that special glowing,
Whatever it is they are feeling
It is surely showing.

So my love, look me deep in the eyes
And you will see
All the love I have for you
And all the sparkles you are giving me.

Always And Forever

My heart weeps when you're not here,
and sings sweet songs when you're near.

My life is trusted completely with you,
for I know you protect me from all harm.

I treasure the precious moments we share,
they will be with me for eternity.

Thank you baby for all you do,
I will always and forever be loving you.

My Secret Love

When you look at me
Those dark and desirable eyes
Send a beautiful tingling sensation
Through my being,
It makes my hands as cold as ice
And sets the bells of my heart ringing.

The warmth of your smile
Cheers me up on lonely days,
Even when I'm sad and blue
With you, joy takes its place.

Mystified by this overwhelming feeling,
I really am.

One night,
I stared at the brightest star
as I looked up at the heavens above.

Oh, there you are!
my unreachable secret love...

Thinking Of You

The hazy moon
slips behind a curtain of clouds.
I watch as the stars come out,
Like eyes over me they hover,
While I know you're far away.

How I long to be there -
Somewhere.
Like stars over you
I'll stay.

A breeze passes by
As I close my eyes.
I pray to God
For you -
To have your angel nearby.
Amen.

A BEAUTIFUL STRANGER!

With all my heart
I miss you
and long for the day
to be with you.
God has been so kind
to bless me
with one who seems to be so
pure at heart!
Forever am I thankful
to share a friendship
and have a special someone
in my life.
Never had I dreamed
that one would come along.

With all my soul
I want you
and feel the need
to be one with you.
You make my life
a living dream...
so far anyway.
Isn't that impossible?
I have known you
for a short period of time,
but it seems like forever.
I am so comfortable with you,
I just can't explain it.

With all my mind
I try to picture you.
So sweet,
so caring,
so loving.
How can this be?
Your smile lights up
the darkness within me,
I am so high
with your presence.
You light up my life.
Never in darkness
shall I remain.

With all my body
I feel your innocence.
A rare gift of beauty.
You are worth more than gold.
You are priceless!
Forever will you remain with me.
Never in all my life
will you be forgotten.
With all my heart,
soul, mind and body
I can truly say
that I have been blessed.
God has given me a treasure
to last a lifetime...
and...much longer than forever...
A BEAUTIFUL STRANGER!

YOU

Your beauty astonishes me.
Your eyes are like Diamonds,
purer than Diamonds,
bluer than a spring sky,
majestical.
Your laugh reminds me of a morning bird,
singing without a care in the world!
Your composure likens that of an Eagle,
elegant, strong, and independent
yet delicate, dainty.
Your lips, so soft,
and bold, and tempting.
Like a Rose, delicate,
intriguing and inviting.

Aankhain Khoob Rooti Hain,

Tumhain Dil Say Bhulatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain,
Dard Dil Main Jagatay Hain Tu Aankhain Khoot Rooti Hain..

Tumharay baad Chahat K Sabhi Punchi Uray Janaan,
Kahin Bhi Dil Lagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Teri Tasweer, Adhooray Khat Tu Jala Diey Hum Nay,
Ab Paani Pay Naqsh Banatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Ghata Aawargi Main Jab Siyah Choola Pehanti Hai,
Parenday Jab Satatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

K Jab Bhi Shaam Dhalti Hai Meri Qismat K Sab Taray,
Falaq Par Jagmagatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Sard Tareek Raaton Main Siyah Sawan Ki Barish Main,
Dard Jab Muskuratay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..

Sahil Ki Woh Mitti K Jis Pay Khoon Hathoon Say,
Wafa Likh Kar Mitatay Hain Tu Aankhain Khoob Rooti Hain..!!!

Suna hai

Suna hai log usay ankh bhar k dekhtay hain
so us k shehar main kuch din thehar k dekhtay hain

suna hai rabt hai us ko kharab haloon se
so apnay ap ko barbad kar k dekhtay hain

suna hai dard ki gahak hai chasm-e-naz uski
so hum bhi us ki gali se guzar k dekhtay hain

suna hai us ko bhi hai shair-o-shayari se shagaf
so hum bhi mo'ajazay apnay humar k dekhtay hai

suna hai bolay tu baton se phool jhartay hain
ye baat hai tu chalo baat kar k dekhtay hain

suna hai raat usay chand takta rehta hai
sitare bam-e-falak se utar k dekhtay hain

suna hai din ko usay titlian satati hain
suna hai raat ko jugnoo thehar k dekhtay hain

suna hai hashar hain us ki gazal si ankhain
suna hai us ko hiran dasht bhar k dekhtay hain

suna hai raat se bhar kar hain kaklain us ki
suna hai sham ko saye guzar k dekhtay hain

siya chasm tu dekhay hain per na dekhay aise bhi
so us ko surma faroosh ah bhar k dekhtay hain

suna hai us k labon se gulab jaltay hain
so hum bahar pe ilzaam dhar k dekhtay hain

suna hai aaina timsaal hai jabeen us ki
jo sada dil hain usay ban sanwar k dekhtay hain

suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
mizaj aur hi lal-o-gehar k dekhtay hain

suna hai chasm-e-tasavur se dasht-e-imkaan main
palang zaviye us ki kamar k dekhtay hain

suna hai us k badan ki tarash aisi hain
keh phool apni qubain kutar k dekhtay hain

wo hsar-o-qad hai magar bay-gil-o-murad nahi
keh us k shajar peh shagofe samar k dekhtay hain

bas ek nigah se lut'ta hai qafela dil ka
so rah-e-rawan-e-tamana bhi darr k dekhtay hain

suna hai us k shabistan se mutasil hai bahisth
makeen idhar k jalway bhi udhar k dekhtay hain

rukain tu gardishain us ka tawaaf karti hain
chalay tu usko zamana thehar k dekhtay hain

kisay naseeb k bay-perahan usay dekhay
kabhi kabhi dar-o-dewar ghar k dekhtay hain

kahanian hi sahi sub mubalghay hi sahi
agar woh khwaab hai tu tabeer kar k dekhtay hain

ab us k shaher main thehren k kooch kar jain
Faraz aao sitare safar k dekhtay hen

jo hum se mil k bichar jaai wo humara nhen

samjh rahe hen magar boolne ka yaara nhen
jo hum se mil k bichar jaai wo humara nhen

abhi se barf uljhne lagi he baalon se
abhi tou qarz e mah o saal bhi utaara nhen

samandron ko bhi herat hoi k doobte waqt
kisi ko hum ne madad k liyai pukara nhen

jo hum nhen tahy tou phir kon tha sar e baazar
jo keh raha tha k bikna humen gawaara nhen

hum ahl e dil mohabbat ki nisbaton k ameen
humare paas zameenon ka goshwara nhen !!!

Shaam e gham

Shaam e gham jab bikhar gayee hogi
janay kis kis k ghar gayee hogi?

itni larzaan na thee chiragh ki lau
apnay saey say darr gayee hogi

chandni aik shab ki mehmaan thee
subah hotay hi marr gayee hogi

dair tak wo khafa rahay mujh say
door tak ye khabar gayee hogi

aik darya ka rukh badaltay hee
aik nadee phir utar gayee hogi

jis tarah wo safar pay nikla tha
saree raunaq udhar gayee hogi

raat sooraj ko dhoondnay k liay
ta ba hadd e sehar gayee hogi

meri yaadon ki dhoop chhaoon main
us ki soorat nikhar gayee hogi

ye talluq na nibha saka us say
ya tabyat hi bhar gayee hogi

Teri pal bhar ki dosti Mohsin!!!
Us ko badnaam kar gayee hogi..

guzar jata hoon

kabhi main aalam e imkaan se guzar jata hoon
or kabhi jism ki daldal main utar jata hoon

ye bhara sheher kabhi mujh main simatt ata hay
kabhi main sheher main har gaam bikhar jaata hoon

sheher se rehti hay ik jang musalsil din bhar
sheher jab haanpnay lagta hay to ghar jaata hoon

is kashaakash main hi milta hay nishaan hone ka
jab bhi takmeel ka ehsaas ho ,mar jata hoon

le urri roshni hi jurat e beenaaii meri
ab to main din k ujaalay se bhi dar jaata hoon

apne zaray se hi nazar aatay hain taahad e nazar
ik zara sar ko jhukaaoon to bikhar jaata hoon

aik ik aankh main apni hi kahaani dekhoon
apna chehra nazar aata hay jidhar jaata hoon

sheher sajtay hain, guzargaahen chamak utthti hain
apne hi khoon main dooboon to sanwar jaata hoon

"SHAAM" khulta hi nahi mout ka hangaam hay kiya
waqt ruk jaata hay ya main hi ttheher jaata hoon !!!

humen aik dosray ki aadat he

chalo wo ishq nhen chaahne ki aadat he
k kia karen humen aik dosray ki aadat he

tu apni shesha gari ka hunar na kar zaya
men aaina hon mujhe tootne ki aadat he

men kia kahon k mujhe sabar kion nhen aata
men kia karon k mujhe tujeh diakhne ki aadat he

tere naseeb men ai dil sada ki mehromi
na wo sakhi na tujhe maangne ki aadat he

visaal men bhi vohi he firaq ka aalam
k usko neend mujhe rat jage ki aadat he

yeh mushkilen hon tou phir kese raastay tai hon
men naa saboor use souchne ki aadat he

yeh khud azyati kab tak faraz tu bhi use
na yaad kar k jise bholne ki aadat he !!!

anjaany se

Kabhi kuch rishty thy anjaany se
Jaany pehchany se per anjaany se

Dastan-e-mohabbat bhi ajeeb hai apni
Dard apny hain per lagty anjaany se

Mujhse na maang manzil ka nishaan
Rasty mery sahi per hain anjaany se

Chehry pe chehra sajay milty hain
Aksar kuch raah-bar yahan anjaany se

Woh kishti kabhi sahil tak na pohonch saki
Thy samandar mein kuch bhanwar anjaany se

Tumhari baatein theek sahi per aey Wa'izon
Mery haalat hain aaj kal kuch anjaany se

Aey Rabb! tu hi to yahan charah-gar hai
Warna to apny sajdey lagein, anjaany se

Mumkin hua to kabhi taa'beer dhoondengy
Jo khwab hain aankhon mein anjaany se

Us gali se kabhi hum bhi aashna thy
Jahan ke makaan lagein ab anjaany se !!!

ehsaas-e-junoon

Ab aye meray ehsaas-e-junoon--kia mujhey daina?--
Darya usay bakhsha hai toh sehra mujhey daina--

Tum apna makaan jab karo taqseem toh yaaron-!
Girti hui deewar ka saaya mujhey daina--

Jab waqt ki murjhaai hui shaakh sambhaalo
Us shaakh say toota hua lamha mujhey daina

Tum mera badan odh kay phirtay raho-LEKIN
Mumkin ho toh ek din mera chehra mujhey daina

Choo jayee hawa jis say toh khushboo teri ayee
Jaatey huay ek zakhm toh aisa mujhey daina

Ek dard ka mela hai--laga hai dil-o-jaan mein
Ek rooh ki awaaz keh rasta mujhey daina

Ek taaza ghazal izn e sukhan maang rahi hai
Tum apna mehekta hua lehja mujhey daina

Wo mujh say kahin badh kay musibat mein tha *Mohsin*
Reh reh kay magar uska dilaasa mujhey daina

mujhey de do

dukhoun ki shidatein zakhmoun ki gherayi mujhe de do
masiha tum sahi izn-e-masihai mujhey de do

tum apni zaat main khud anjuman ho tum ko kia gum hai
main tanha hoon yeh zooq bazm arayi mujhey de do

tum aoney dil k darwazey set mukfil shauq sey kerlo
bas apni zaat sey izn-e-shanasayi mujhey de do

tumharey baad her manzar mujhey berung lagta hai
yeh aankhain cheen lo ya apni benayi mujhey de do

main sansoun main samo lounga tumhari her amanat ko
yeh wehshat nak sanatey yeh tanhai mujhey de do

meri shurat tumharey kaam ajaye to hazir hai
tumhain duniya ney bakhshi hai jo ruswai mujhey de do

main shayar hoon merey bekaif betaseer lafzoun ko
amar kerdo apney gum apni raunayi mujhey de do !!!

Jab tum MuJhe apna kehte Ho

Chehre Pe Khushi Chah Jati Hai


Chehre pe khushi chah jati hai

ankhon mein suroor aajata hai

Jab tum MuJhe apna kehte Ho

apne pe guroor Aajata hai


Tum husn ki khud ek dunya Ho,

shayad yeh tumhain maloom nahi

Mehfil Mein Tumhare Aane Se ,

Har Chiz Pe NooR Aajata Hai


Hum pass se tum ko kiya dekhen

JaB TuM MukaBiL HotE HO

BetaaB NigHaooN Ke AaGe ,

Parda sa Zaroor Aajata Hai


Jab Tumse MohabbaT ki Humne

Tab jake kahin yeh raaz khula

Marne ka Saliqa Aata hi nahi

Jeene ka Shaoor Aajata Hai !!!

rastey badal gaey

YuN dost saarey apney apney rastey badal gaey
kuch peechey ruk gaey to kuch aagey nikal gaey

haalaat ki dhoop zaraa si deir ko teiz kya hui
jitney wafaa ke peikar they saarey pighal gaey

waadoN ke taarey raatoN sey baahar na jaa sakey
iraadoN ke din nikalney sey pehley hi dhal gaey

wafaaoN ke rang shabnam ke qatroN ney dho deeye
mohabbat ke phool jazboN ki 'shiddat' sey jal gaey

taanoN ke teer dunya ki kamaanoN pe jab charrhey
sabar ke daaman haathon sey yak'dam phical gaey


aaNkheiN khuleiN to khaaboN ko bura laga magar
kuch deir wo reh ke muztarib khud hi behal gaey

pehley pehal to ajeeb lagey badley huwey chehrey
phir yuN huwa ke waqt ke saath hum bhi sambhal gaey!!!

Thursday, April 16, 2009

"best" friend

Like a needle in a haystack,
true friends are hard to find.

That's why I'm so thankful that I can call you mine.
Whenever I need a shoulder you're there to catch my tears.
You've kept my many secrets,
Throughout the past four years.
You've been there through my afflictions,
You've witnessed my defeats.
I'll remember all the good times,
And pray the bad ones don't repeat.
With you my heart is honest,
but there's one thing I never told you.
Thank you for everything you've done
There's no one else like you.
No one that could ever be a
true "best" friend like you!

KHUDA Ek Bar Usy Mera Bana De !!

KHUDA Ek Bar Usy Mera Bana De !!
Kitna Chahta Hoon Usy Koi Bata De !!

Bohut Naz Hai Humhe Apni Mohabbat Per !!
Ho Jaye Wo Mera Aisa Mojza dikha De !!

Agar Wo Mera Naseeb Ban Nahi Sakta !!
Us Ke Kadmo ki Khak Mujhe Bana De !!

Her Pal dekhon Sirf Sapne Usi Ke !!
Na Jagon Mujhe Aisi Neend Sula De !!

Zindagi Kis Tarha Bitao Gey !!

Zindagi Kis Tarha Bitao Gey !!
Pas Jab Apne Hamen Na Pao Gey !!


Raat Ko Chonk Kar Uth Jao Gey !!
Raat Bhar Neend Kyn Nahi Aati !!

Tum Ye Khud Bhi Samajh Na Pao Gey !!
Log Pochen Gey Is Tanhai Ka Sabab !!

Kis Chopao Gey Kia Batao Gey !!
Palkein Her Bar Bheeg Jaein Gi !!

Jab Kabhi Khul Ke Muskrao Gey !!
Meri Yaaden Bohut Sataen Gi !!

Jab Bhi Barish Mein Bheeg Jao Gey !!
Khud Ko Tanha Na Pa Sako Gey Kabhi !!

Her Jaga Mera AKS Jo Pao Gey !!

MUJH SE DOSTI KAROGE

MUJH SE DOSTI KAROGE
YA YUN HI AAHAIN BHROGE

MAIN PAGAL HOON
DEWANA HOON

JAL JATHA HOON
PARWANA HOON

MAIN DUKH SUKH SE
BEGANA HOON

KHALI SHAOOR-E-KHANAHOON
MIL KAR MUJH SE TUM DROGE?

YA YUN HI AAHAIN BHAROG
MAIN JAG KA EK SITARA HOON

SAMUNDAR KA KINARA HOON
GALION KA AAWARA HOON

PHER BHI MAIN SAB KA PYARA HOON
SAB KUCH HOON BECHARA HOON

NAAKARA HOON NAKAARA HOON
PHER BHI TUM MUJH PER MAROGE?

YA YUN HI AAHAIN BHAROGE

Koch Yaad Dilata Hai

Barish Ka Ye Mousam Koch Yaad Dilata Hai
Kisi Kay Saath Honay Ka Ehsaas Dilata Hai


Fiza Bhi Sard Hai Yaadain BhiTaaza Hai
Ye Mousam Kisi Ka Pyaar Dil May Jagata Hai

Bheegi Hoye Raatain Khamosh Si Baatain
Aisay Main Koch Kaho Tu Her Lafz Madhem Ho Jata Hai

Barsat Ki Hain Bondain, Bondon May Hai Khushbo
Ye Lumha Tu Dil Ka Ehsaas Chuu Jata Hai

Aisay Main Tum Bhi Keh Do Dil Ki Baat
Ye Mousam Tu Pal Bhar Main Beet Jata Hai

Mohabat jis se ho jaye

Mohabat jis se ho jaye usay takleef mat dena
wo cahay dukh hazaron de usay takleef mat dena

kabhi tum chand se kehna kabhi taron se apna gham
agar wo sun nahin paye usay takleef mat dena

tumhain uss shakhs ki galiyun main chahy maot aa jaye
wo milny se jo katraye usay takleef mat dena

taalluq roth jany se kabi

mujhy sun ki uss ki sab batain faqat itna hi kehna hay
khafa hona mana lena ye sadiyun se riwayt hay
mohabatki elamat hay gily shikway karo mujh se
tumhain janan ijazat hay
mgr ik bat meri yad rakhna tm kabi aisa b hota hay
hawain rukh badalti hain khazain laot aati hain
khatain ho hi jati hain khfa hona b mumkin hay khata hona b mumkin hay
mgr hath se daman kabi choota nahin krty hamesha yad rakhna tm
taalluq roth jany se kabi tota nahin karty

Mere Ham-Safar

Mere Ham-Safar
Mere Ham-Nashin
Maine Rab Se Manga To Kuch Nahi
Maine Jab Bhi Koi Dua maangi
Nahi Manga Kuch Bhi "TERE SIWA"

Ye TalabKiya K Mere Khuda
Sabhi Rahatain
Sabhi Chahatain
Wo Ata Karey Tujhe Manzilain

Ye Talab Kiya K Mere Khuda
Tujhe Bakht De
Tujhe Taaj De
Tujhe Takht De

Mere Ham-safar
Mere Chara-Ger
Ye Hai MOHABBAT Ka Katin Safar
Mere Saath Chalna Zara Soch Ker
Zara Dekh Tu Mera Hosla
Mere Paas Jo Bhi Wo Hai Tera
Nahi Or Kuch Bhi "TERE SIWA"

Meri Dosti
Meri Zindagi
Meri Khamoshi
Meri Be-Basi
Mera Ilm Bhi Mera Naam Bhi
K Meri Subah K Meri Shaam Bhi
K Jo Mil Sakey Mere Daam Bhi
Wo Sabhi Kuch Tujhe Ata Karey

Mere Chara-Ger Tu Yaqeen Ker
Mujhe Mangna To Na Aa Saka
Maine Phir Bhi Mangi Yahi Dua
K Gawahi De Ga Mera Khuda
Maine Jab Bhi Us Se Talab Kiya
Nahi Manga Kuch Bhi "TERE SIWA"

Wednesday, April 15, 2009

acha laga.

tere ishq k khumaar mai raat bhar jaagna acha laga.
teri soch mai raat ka har pehar guzarna acha laga.
halki roshni mai tere saaye ka ehsaas acha laga.
kabhi yunhi palkon ko moor kar.
dil mai teri tasveer dekhna acha laga.
tanhayi mai tujh se baatein kar k bina wajah muskurana acha laga.
iss khamosh fizza mai teri mehak ka ghul jana acha laga.
teri yaad mai shayari likhte hoye subha ho jana acha laga.
phir likhte likhte tere khuwabon mai khoo jana acha laaga.
tere khuwab ki baahon mai HUm KO SOO jana acha laga....!!!!

Naqsh aise teri yaadon ke

Naqsh aise teri yaadon ke bikher jatay hain
Jaise Taqdeer ke Unwaan Sanwar jatay hain

Dil to Sheesha hai, Aur Sheeshay se bhi nazuk tar
Log Pathhar ke hain, takra ke guzar jatay hain

Dil hi Duniya ho to Daulat ka guzar kya maynee
Hum to bus tere Tasawwar se Behl jatay hain

Dekhtay hain jo Usay ghaiar ki Mehfil mei kabhi
Hum Udaasi ke Samundar mei utar jatay hain

Dil mila hai Hamein aisa ke Agar Ghum bhi milay
Us ko Seenay se lagaye huwe marr jatay hain

Ab to yun Toott gaya Rishta-e-Ulfat ka kahin
Jaise Beetay huwe Lamhaat guzar jatay hain

yaas mein jab kabhii

yaas mein jab kabhii aansuu niklaa
ik nayeii aas kaa pehluu niklaa.....

lay urdii sabza-e-Khoodroo ki mahek
phir terii yaad kaa pehloo niklaa

meethii bolii mein papiihay boley
gungunaataa hu’aa jab tuu niklaa

aayein saavan kii andherii raatein
kahein taaraa, kahein jugnuu niklaa

naye mazmoon sujhaatii hay sabaa
kyaa idhar se vo mushk-buu niklaa

paanv chhilney lagii jaltii hueii rait
dasht se jab ko’ei aahoo niklaa

kaei din raat safar mein guzrey
aaj tau chaand lab-e-juu niklaa

taaq-e-maiKhaanaa mein chaahii thii amaaN
vo bhii teraa Kham-e-abruu niklaa

ehl-e-dil sair-e-chaman se bhii gaye
aks-e-gul saayaa-e-gesuu niklaa

vaaqiyaa ye hay ke badnaam huye
baat itnii thii keh aansuu niklaa

Kahoon kis sy qissa e dard o gham

Kahoon kis sy qissa e dard o gham
koi hamnasheen hy na yaar hy

jo anees hy teri yaad hy
jo shafeeq hy dill-e-zaar hy

kahoon kis sy qissa e dard o gham

tu hazar karta lagawatin
main kabhi na aata fareeb main

mujhy pehly is ki khabar na thi
tera do hi din ka yah pyar hy

kahoon kis sy qissa e dard o gham

yah naveed oron ko ja suna
ham aseer dam hain aay saba

hamin kya chaman hy raang per
hamin kya jo fasal e bahar hy

kahoon kis sy qissa e dard o gham

mujhy raham aata hy tujhy dekh kar
tera haal akbar e nohaGar

tujhy bhi chahy khuda kary
tu jis ka aashiq e zaar hy

kahoon kis sy qissa e dard o gham
koi hamnasheen hy na yaar hy

jo anees hy teri yaad hy
jo shafeq hy dill-e-zaar hy

kahoon kis sy qissa e dard o gham

Aik Mulaqat Bohat Hai

Ek Bewafa Se Aik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Duniya Ko Dil Ke Daagh Dikhaon To Kis Tarah
Aye Zindagi Yeh Raaz Chupaon To Kis Tarah

Apni Tabahiyoon Mein Mera Haath Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Toota Jo Dil Ka Aaina Tootay Sabhee Bharam
Hoti Hai Umar Pyaar Ki Jeenay Ke Liye Kamm

Marnay Ke Liye Dard Ki Raat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Hai

Ek Bewafa Se Ik Mulaqat Bohat Hai
Jitna Bhee Diya Humnay Tera Saath Bohat Ha

harf harf main dua likhon . .

Maery ajnabi maery aashna !

Tujhy harf harf main dua likhon . . .

Koi aesa wasl naseeb kar,

Tujhy chaand, par, hawa likhon . . .

Agar na ban sakon kabhi taera,

To hayaat ko main fanna likhon . . .

Jo na darr ho mujhy kufar ka . . .

Main tujh ko apna Khuda likhon . . .

Yeh zindgi qadam qadam py,

Taeri yaad sy jawaan rahy . . .

Maery ajnabi maery aashna,

Main tujhy kabhi na juda likhon . . . . !

Wehshat Ossay Bhi Thi,,MuhabbaT Ossay Bhi Thi..

Zikr'e'Shab'e'FiraQ Se Wehshat Ossay Bhi Thi
Meri Tarah Kissi Se MuhabbaT Ossay Bhi Thi..

Mujhko Bhi ShouQ Tha Naye ChehrOon Ki Deed Ka
Rasta Badal K Chalne Ki Aadat Ossay Bhi Thi..

Os Raat Deir Tak Wo Raha Mehv'e'GuftaGu
Masroof Mei Bhi Kamm Tha FaraGat Ossay Bhi Thi..

Sunata Tha Wo Bhi Subse Purani Kahaniyan
Taaza RafaQatoon Ki Zaroorat Ossay Bhi Thi..

Mujh Se Bichar K Shehar Mein Ghul Mil Geya Wo Shaks
HalanQay Shehar Bhar Se RaQabaT Ossay Bhi Thi..

Wo Mujh Se Barh K Zabt Ka Aadi Tha Jii Geyya
Warna Har Ik Saans Qayamat Ossay Bhi Thi..

bay zameen logon ko

bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
bud-naseeb qadmoon ko
jis taraf bhi lay jain
raaston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
bud-guman shehron mai
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhnay dain
tham lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
toor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajnabi koi laa kar humsafar bana dain
saath chalnay walon ki rakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dain
raston ki marzi hay

Ab K Us Ki Ankhoon Main

Ab K Us Ki Ankhoon Main
Bay'Sabab Udasi Thi
Ab K Us K Cheray Par
Dukh Tha Bad'Hawasi Thi

Ab K Yoon Mila Mujh Say
Yoon Ghazal Sone Jaisay
Main Bhi Na'shana'sa Hon
Wo B
Ajnabi Jaisay

Zard Khal'o'khad Us K
Sogawar Damam Tha
Ab K Us K Lehjay Main
Kitna Khud'raa'Pan Tha

Wo K Umer Bhar Jis Ne
Shehr Bhar K Logoon Main
Mujh Ko Hum'sukhan Jana
Dil Say Ashnaa Likha
Khud Say Mehar'ban Samjha
Mujh Ko Dil'robaa Likhaa

Ab K Sada Ka'Ghaaz Par
Surkh Rosh'nayee Say
Us Ne Tal'kh Lehjay Main
Mere Naam Say Pehlay
Sirf Bewafa Likha.....!

Woh aik lamhaa

Woh aik lamhaa
jo hazaaron Rishton
Laakhon sapno
aur bay shumaar Khwaabo ko
Mitti talay daba gaya
Woh Lamha jo logon say
unka mustakbil,unka sarmaaya chura gaya
Aaj usi aik Lamhay ki tasveer yaad kar kay
Aansoo palkon ki dehleez pe utar aaye
Kay kaash…
Woh aik lamha aik lamha ban kar hi guzar jaata
youn hum say hamaray Apnay na churaa paata
Kaash woh aik lamha

Haq e Muhabat

Main ney Haq e Muhabat adaa kiya
Nehi kabhi kisi say Ghilaa kiya
Mujhy ajeeb ess ka silaah milla
Mujhy dil say ous ney bhulaa diya
Muhabatoon ki kitaab ka
Har aik Warq jaala diya
Woh jo aarzoo ka chiraag tha
Ousey nafraaton ney bujha diya
Mujhy zakham phir ik neiya diya
Mujhey ess muahabat ney kia diya?
Woh jo kehty thay khush rahoo
Woh jo kehty thay Meri JAan ho
Har lamhaa hansaa karo
Mujhy ess tarha say rulaa diya
Mera Nishaan tak Mitta diya

Yaad karte hain jab woh din hum aaj bhi

Yaad karte hain jab woh din hum aaj bhi
hain kitne tanha tere bin hum aaj bhi
kaisi doori huee hai jaana kya bataaon main
guzre lamho main thay jo sapne kabhi
toote sitaare ki tarha gire hain woh aaj bhi

aisi hawa chali thi, dekho chalti hai wo aaj bhi
leke jaati hai kis taraf humne jaana na aaj bhi
aag kaisi jali thi jo jalti gayee
kaisa toofan tha jo ruka na kabhi
meri khushion ne rukh badla aaj bhi

tum thay anjaan ho bekhabar aaj bhi
hum thay maherbaan tumpe hain fida aaj bhi
baat kehdi thi lekin rahi ankahee
milay to sunayenge fasaane kabhi na kabhi
mil jaye do ghari fursat k, maangte hain dua aaj bhi

pal do pal, badalti hai apna rasta kismat aaj bhi
aazmaati hai, leti hai imtihaan aaj bhi
ibtida hansi se huee, intihaa main sabar likha
humne to har mushkil lamhe ko safar ka dost samjha
kya hai chhupa us aakhri din main, uska hai intizaar aaj bhi

~ Why is it that , eyes tell everything ? ~

~ Why is it that , no matter how much you try to hide something , still your eyes can't lie ? ~

~ Why is it that , you can tell from someone's eye , when he is fooling around ? ~

~ Why is it that , nothing is compareable to the warmth & love in a mother's eyes , when she looks at her child ? ~

~ Why is it that , they say love at first sight ? ~

~ Why is it that , you feel heavens when you look in your beloved's eyes ? ~

~ Why is it that , a couple in love don't have to use words to express anything , when their eyes become the communicating source ? ~

~ Why is it that , eyes tell everything ? ~

Qalam Dil Mein Dubota Hoon

Qalam Dil Mein Dubota Hoon Chund Lafzon Ko Likhta Hoon
Jo Batein Dilpe Lagti Hain Unhi Baton Ko Likhta Hoon

Mein Shayir Hoon Meri Veeraniyan Jab Hadd Se Barhti Hain
Ussi Lamhe Dhunwan Uthta Hai Aur Aahon Ko Likhta Hoon

Mein Lafzon Ko Nahi Ehsas Ko Tehreer Karta Hoon
Na Ghazlon Ko Na Nazmon Ko Faqat Jazbon Ko Likhta Hoon

Kabhi Tanha Jo Hota Hoon Takhayyul Mein Bhi Rehta Hoon
Purane Dard Ke Lamhe Nayi Sochon Ko Likhta Hoon

Kabhi Aisa Bhi Hota Hai Shab Bhar Jaagta Hoon Mein
Jo Dilse Munsalik Rehti Hain Unn Yaadon Ko Likhta Hoon

Lahoo Dilse Nikalta Hai Kaleja Moonh Ko Aata Hai
Kisi Ko Kya Khabar Jab Bhi Kabhi Ghazlon Ko Likhta Hoon

HAAL-E- DIL JAANTI HAI WOH

HAAL-E- DIL JAANTI HAI WOH

Tujh ko her lamha chahti hoon main
tujh ko her lamha poojti hoon main

Smart Fahim


apni tanhaiyon se ghabra ker
tere baare main sochta hoon main
Smart Fahim

raat ke peechle pehar utth utth ker
bas tujhe hi to maangta hoon main
Smart Fahim

apne honton se kuch nahi kehta
aankhon aankhon se chahta hoon main
Smart Fahim

neend mujh ko zara bhi nahi aati
raat bhar yun hi jaagta hoon main
Smart Fahim

jo bhi kahoon woh kuch nahi kehta
meri her baat maanti hai woh
Smart Fahim

haal-e- Dil kya usse sunaoon main
haal-e-Dil mera jaanati hai woh

ho na duniya main koi

ho na duniya main koi hum sa bhi piyaasa logo
G main aati hay k p jaayn ye darya logo

kitni is sheher k sakhiyon ki suni thin baaten
hum jo aaye to kisi ne bhi na poocha logo

itifaaqan hi sahi par koi dar to khulta
jhilmilaata pas e chilman koi saaya logo

sab k sab mast rahe apne nihaan khaanon main
koi kuch baat musaafir ki bhi sunta logo

hongay is sheher main kuch us k bhi parrhne waalay
yoon to ye shakhs bhi mash'hoor tha khaasa logo

phir wohi dasht wohi dasht ki tanhaaii hay
wehshat e dil ne kahin ka bhi na rakha logo

G ki G hi main rahi hasraten toofaanon ki
ye safeena to kinaare hi pe dooba logo

band hui jaati hain ,pasaaren paaon
neend c neend humen ab na utthana logo

aik hi shab hay taweel,itni taweel, itni taweel
apne ayyaam main amroz na farda logo

ab koi aaye to kehna k "musaafir to gaya"
ye bhi kehna k,bhala ab bhi na jaata logo.

pehlay se ab wo rang ,

pehlay se ab wo rang ,wo melay kidhar gaye
hoti thi jin se dhoom wo jazbe hi mar gaye

aankhon ka noor, dil ka ujaala bhi lay urray
hum ko to apne dost hi sunsaan kar gaye

haaye wo chhaaon ddaaltay chhatnaar kia huay
haay wo paaon choomtay daryaa utar gaye

ik lamha teri yaad se ghaafil huay thay hum
ik lamhay main hi kitne zamaanay guzar gaye

koi na shab ki tergi main saath de saka
kuch de gaye farayb to kuch yoonhi dar gaye

hum reh gaye hain SHAM jo tanha to gham nahi
kab ehl e dil k saath bhala kam nazar gaye
----------------------------------------

Raabta laakh sahi

Raabta laakh sahi kaafla e saalaar k saath......
hum ko chalna hay magar waqt ki raftaar k saath

gham lagay rahtay hain har aan khushi k peechay
dushmani dhoop ki hay saya e deewar k saath

kis tarha apni muhabbat ki main takmeel karoon
gham hasti bhi tau shamil gham e yaar k saath

lafz chunta hoon tau mafhoom badal jata hay
ik na ik khof bhi hay jurat e izhaar k saath

bukhsh daay mujhko bhi aizaz e masiha o mansoor
mainay bhi piyar kia hay rasn o daar k saath

dusmani mujhsay kiay jaa magar apna ban kar
jaan lay lay mari sayad magar piyar k saath

do ghari aao mil aain kisi ghalib say kateel
hazrat e zoq tau wabasta hain darbaar k saath ............

hontt kholay huay khaamosh dareechay dekho

hontt kholay huay khaamosh dareechay dekho

waqt hay,chaand abhi niklay k niklay, dekho



sheher main ghoomo to rangon k juloo main laikin

ghar main aao to wohi reengtay saaye dekho



apne zaron k tilsmaat main kho jaaogi

kabhi tanhaaii main tum bhi to bikkhar k dekho!



apni yaadon ki haseen shaakh pe rehne do humen

ttoott jaatay hain to miltay nahi patay dekho!



kabhi tum aakhir e shab waqt ki faryaad suno!

subha k khof se lamhon ko sisakte dekho!



ik zara tez chali hay jo hawa,girne lagay

ye falak bos mehal rayt k ghar thay dekho!



SHAM aaye to khuli chhat pe nikal aao zara!

apni hi aag main is sheher ko jaltay dekho

Khud Hee Ho Jata Hai..Ishq

Khud Hee Ho Jata Hai..Ishq
Ishq to khud hee ho jaata hai…
Dil bhi apna kho jaata hai…
Jab aisa ho jaata hai…
To dil bekaraar ho jaata hai.

Kyun hota hain humko pyaar…
Mujhko nahi pata yaar.

Itna zaroor pata hai mujhko…
Ek din ye bhi hoga tumko.

Jab hoga tumko pyaar…
Hawa mein udoge tum bhi yaar…
Khush rahoge hardam tum…
Pyaar karoge pyaar se tum.

Aaj tumne jisko dekha hai…
Shayad who hee tumhara apna hai…
Abhi chalega pata nahi…
Intezaar mein rahna har ghadi.

dil-e-nadaan tujhay hoa kya hai

dil-e-nadaan tujhay hoa kya hai
aakhir iss dard ki dawa kya hai...

hum hain mushtaq aur woh baezaar
Ya-Ilaahi ye maajra kya hai...

jab ke tujh bin nahi koi maujood
phir ye hangaama aye Khuda kya hai...

hum ko unsay hai wafa ki umeed
jo nahi jaantay wafa kya hai...

jaan tum per nisaar karta hon
men nahi jaanta duaa kya hai...

main bhi moon main zabaan rakhta hoon
kaash poocho mudda kya hai...

haan bhala kar tera bhala hoga
aur darwesh ki sada kya hai...

main ne maanaa ke kuch nahi Ghalib
muft haath aaye tou bura kya hai.....

Kitni Azziyat Say

Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga...
Meri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya Hoga..

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi.......
Uss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga...

Socha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar Mujhay.......
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga...

Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say..
Uss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya Hoga..

Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay........
Tunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya Hoga..

Hokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay Jaana.........
Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga......

Poocha Hoga Jo Kisi Ne Tere Halaat Ka Sabbab....
Tunay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga....

Main naheen jaanta.

Deep jis ka sirf mehellaat hi main jalay,
Chand logon ki khushyon ko lay ker chalay,
Wo jo saye main har maslihat kay palay;
Aisay dastoor ko,
Subh e bay noor ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta

Main bhee kha’if naheen takhta e daar say,
Main bhee Mansoor hoon, keh do aghyaar say,
Kyun daraatay ho zindaan ki divar say,
Zulm ki baat ko,
Jehel ki raat ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Phool shaakhon pay khilnay lagay tum kaho,
Jaam rindon ko milnay lagay tum kaho,
Chak seenon kay silnay lagay tum kaho,
Iss khulay jhoot ko,
Zehan ki loot ko,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Tum nay loota hai sadyon hamara sakoon,
Ab na hum per chalay ga tumhara fasoon,
Chara gar main tumhain kiss tara say kahoon?
Tum naheen charaagar,
Koi maanay magar,
Main naheen maanta,
Main naheen jaanta.

Meri ibaadaton ki touheen ho tum.

Meri ibaadaton ki touheen ho tum...
Bekhabar jurm-e-ishq sangeen ho tum...

Mere nafraton ke haqdaar nahi ho...
Chahaton main base gamgeen ho tum...

Dilon se khelna tumhaari fitrat hai...
Masoomiyat main lipte shouqeen ho tum...

Taareeqiyon ke maalik dil-e-gamzada...
Bewaafaai bhi sharmaai wo yakeen ho tum...

Meethi-meethi baaton ke jaadugar...
Sangdil fankaar bade maheen ho tum...

Ashkon ke saudagar dilon ke talabgaar...
Muskaanon ke kharidaar badtareen ho tum...

Dilon ko todne waale beparwaah bemurawwat...
Fareib-e-Shoq mizaaj bade rangeen ho tum...

Jhooti baaton se dil ko bas main karne waale...
Dil fareib baaton ke jadoogar behtereen ho tum...

Aarzoo-e-dil ke qatil sitamgar sangdil...
Dil laraz uthe wo humnasheen ho tum...

Bohat Dinon Baad

Bohat Dinon Baad Uss Say Mil Ke
Hum Baat Be-baat Khilkhila Ke Hanstey Rahey
Haal Ahwaal Poochtey Rahey
Mosam Pay
Shayari Pay
Kitaabon Pay
Zindagi Pay
Zindagi Ke Har Mozoo Pay
Zor-o-Shor Say
Bahsein Kartey Rahey
Be-thakan Boltey Boltey
Yak Dum Uss Gham Shanaas Ne
Humein Ye Keh Ke Chup Kara Diya
Tanha!!!
Aaj Sabab Kya Hai
Kyun Be-thakan Boley Hi Jaa Rahey Ho
Baat Be-baat Hanstey Hi Jaa Rahey Ho
Go Hastey Huwey Achey Lagtey Ho
Mujhey Pyarey Lagtey Ho
Main Sadaa Tumhein
Hanstey Huwey Hi Daikhna Chaahti Hoon
Par Jaaney Kyun Tumhari Ye Khokhli Hansi
Mujhey Muztarab Kar Rahi Hai
Tumhari Sogwaar Aankhein
Tumhari Hansi Ka Pol Khol Rahi Hain
Keh Do Jo Kehna Hai
Dil Ke Nihaan Khaanon Mein Chupey Dukh
Bayaan Kar Do
Raaz Saarey Hi Bayaan Kar Do
Main Jaanti Hoon Ikk Baar Mainey Tum Say Kaha Tha
Tanha!!!
Khush Raha Karo Mairey Liye...
Phir Jab Bhi Tum Mujh Say Miley
Tum Ne Apna Koi Dukh Bhi Mujh Say
Bayaan Nahin Kiya
Hansi Ka Libada Aorrh Ke Hi Miltey Rahey Ho
Par Tumhari Udaas Aankhein
Sogwaar Aankhein
Jab Bhi Main Daikhti Hoon
Be-chain Ho Jaati Hoon
Keh Do Jo Kehna Hai
Warna Mujhey Gumaan Hai
Tumhari Palkon Pay Jurrey Aansoo
Zabt Ki Saari Hadein Torr Ke
Beh Jayein Gey Kisi Din
Keh Do Jo Kehna Hai
Keh Do Jo Kehna Hai
Main Kuch Na Keh Saka ......
Jaaney Kyun Chup Hi Raha
Uss Ki Saari Baaton Ko
Khokli Hansi Ke Saath Rad Kar Ke
Chala Aaya
Shayad Apney Zabt Ko Aazmaney ....

teri yaad mein jeetey jeetey

teri yaad mein jeetey jeetey ik zamana beet gya
hum ko apney app se bichrey zamana beet gya

pani ke pardey par tum ne naam wafa ka likha tha
pani ki lehroon ko taktey aik zamana beet gaya

ankhoon mein kuch khwab basa kar hm ne jeena chaha
ankhoon mein khwaboon ko sulagtey aik zamana beet gya

jatey jatey phir milney ki aas na detey acha tha
phir milney ki aas mein jaltey jaltey aik zamana beet gya

kon suney faryaad kisi ki kon kisi ka dard sahe
apne app se batein kartey aik zamana beet gaya!!!

Kabi jalwa kabi parda ye tamasha kya hai.

Hum na smjhay teri nazron ka takaza kya hai..

Kabi jalwa kabi parda ye tamasha kya hai..

Mujh ko madhosh sa kar rakha hai teri ankhon ny..

Warna ay saki tere Maikhany mein or rakha kya hai..

Dekh Laina tere majnoo ka kaleja kya ha..

khak mein mil k bi kehta hy k bigra kya hy..

Ye surahi sa badan le k mere samne na aaya karo..

Mai sharabi hun sharabi ka bharosa kia hai..

Apny honton se mere honton ko chony to do..

1 do ghont se Botal ka bigarta kia ha?

Suna hai log ussay

Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shehar mein kuch din thehar ke dekhtay hain

Suna hai rabt hai us ko kharaab haloon se
So apne aap ko barbaad kar ke dekhtay hain

Suna hai dard ki ghaahak hai chashm-e-naaz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ko bhi hai shair-o-shaeri se shaguf
So hum bhi moujazzay apne hunar ke dekhtay hain

Suna hai bolay tu batoon se phool jhartay hain
Yeh baat hai tu chalo baat kar ke dekhtay hain

Suna hai raat ussay chaand takta rehta hai
Sitaaray baam-e-falak se uttar ke dekhtay hain

Suna hai din ko ussay titleyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhtay hain

Suna hai hashar hain us ki ghazaal si ankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain

Suna hai raat se barh kar hain kaaklain us ki
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ki seyaah chashmagi qayaamat hai
So us ki surma farosh aah bhar ke dekhtay hain

Suna hai us ke laboon se gulaab jaltay hain
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain

suna hai aaenaa tamsaal hai jabeen us ki
Jo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtay hain

Suna hai jab se hamaayal hain us ki gardan mein
Mizaaj aur hi laalo-gohar ke dekhtay hain

Suna hai chashm-e-tassavur se dasht-e-imkaan mein
Pallang zaweyey us ki kamar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ki taarash aisi hai
Ke phool apni qubaayain qattar ke dekhtay hain

Bas ek nigaah se lut’ta hai qaafila dil ka
So reharwaan-e-tamanna bhi dar ke dekhtay hain

Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht
Makeen idhar ke bhi jalway udhar ke bhi dekhtay hain

Rukay tu gardishain us ka tawwaaf karti hain
Chalay tu us ko zamaany thehar ke dekhtay hain

ab uske shahar main thahren k kooch kar jayen
to aao faraaz sitaare safar k deekhte hain

Tum dariya tak pahunche ho

Tum dariya tak pahunche ho, hum jaayenge sagar tak,
jo khayal se door rahe hain, un khwabon ke manzar tak.

kahte ho hamraah jinen tum matalab ke hi saathi hain,
raah-e-safar me unka rishta, unke ghar ke baahar tak.

use yakin hai ik din wapas door shahar se lautengi,
wo aulaaden jinki khaatir, maan ne beche zewar tak.

banti rasoi, phir ghar aangan, phir baapu ki pension bhi,
ab to bhai nikal pade hain, ghar se lekar khanzar tak.

shor shahar me,magar nazar main ghahri si khamoshi hai,
qaid rakha hai khud ko hamne,ghar,aangan ya daftar tak

chhor detaa huun,

Khud ko parhtaa huun, chhod detaa huun,
Aik varq roz mod detaa huun,



Iss qadar zakhm hain nigaahon mein,
Roz ek aaiinaa tod detaa huun,



Main pujaarii baraste phuulon ka,
Chhuu ke shaakhon ko chhod detaa huun,



Kaasa-e-shab mein khuun suuraj kaa,
Qatraa qatraa nichod detaa huun,



Kaanpte honth bhiigtii palkein,
Baat adhuurii hii chhod detaa huun,

Qismat se larrne ki

Suno Qismat se larrne ki
Kabhi koshish nahi karte
Muqaddar jab mukhalif ho
DUA'AIN be-aser jayen
Sabhi manzar bikher jayen
To aise main baghawat ki
Kabhi koshish nahi karte
Kisi ke saath chalne ki
Kisi ke Dil main basne ki
Kabhi khuwahish nahi karte
Kisi ek shakhs ki khatir
Sabhi se door ho jaana
Kahan ki yeh Mohabbat hai?
Mohabbat yeh nahi hoti
Mohabbat Dil main hoti hai
Mohabbat aks hai RAB ka
Kabhi yeh mar nahi sakti
Hamesha saath rehti hai
Hamesha saath chalti hai
Mile jo humsafar tum ko
Us hi ke saath chalna tum
Usse dharkan bana lena
Usey Dil main basa lena
Mager Qismat se larrne ki
Lakeron se ulajhne ki
Kabhi koshish nahi karte
Kabhi koshish nahi karte

Beetay Huwey Lamhey

Beetay Huwey Lamhey, Woh Pehla Pehla Pyar
Humara Tumhara, Chup Chup Ke Milna Yaad Hai
Woh Nayi Nayi Jawani, Woh Pyar Ka Pagal-pan
Humari Khatir Tumhara, Woh Ban-na Sanwarna Yaad Hai
Woh Baarish Ka Mosam, Woh Bheegi Shaamein
Woh Baaghon Mein Milna, Woh Paton Pay Chalna Yaad Hai
Woh Pyar Bhari Baatein, Woh Pyar Ka Izhaar
Humara Tumhein Khat Likhna, Woh Shair Kehna Yaad Hai
Woh Khayalon Mein Khoye Rehna, Kisi Say Kuch Na Kehna
Raaton Ko Neend Na Aana, Woh Jaagtey Rehna Yaad Hai
Shayad Tum Sab Bhool Gayi, Aur Humein Woh Waqt Yaad Hai
Dil Ka Tootna Bhi Yaad Hai, Aur Woh Aansoo Behna Yaad Hai
Jab Waqt Aaya Iqraar Ka, Duniya Say Izhaar Ka
To Zamaney Ke Khof Say, Tumhara Khamosh Rehna Yaad Hai ....!!

Mohabbat Theher Jaati Hai...

Mohabbat Theher Jaati Hai...
Hum aksar yeh samajhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
mohabbat da'imi such hai
mohabbat theher jaati hai !!!
hamari baat kay andar
mohabbat baith jaati hai
hamari zaat kay andar
magar yeh kam nahin hoti
kisi bhi dukh ki soorat mein
kabhi koi zaroorat mein
kabhi anjaan se gham mein
kabhi lehjay ki thandak mein
udaasi ki zaroorat mein
kabhi baarish ki soorat mein
hamari aankh kay andar
kabhi aab-e-rawan ban kar
kabhi qatray ki soorat mein
bazahir aisa lagta hai
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
magar aisa nahin hota....
yeh hargiz kam nahin hoti...
MOHABBAT THeheR JAATI HAI...!!!

meri shairi k daman main

meri shairi k daman main
tera hi basera hai
ik bhi shair kab hai mera
yah sb kuch to tera hai
meri ghazlon ki soch
meri nazmon ka unwa'n to
meray funn ki wajha
meray sukhn ka sama'n to
mujhay koi bhi aisa lafz yad nahin
jo main na yteray nam say mansoob na kiya ho
meray mann k andar bhi
fakat tera baseera hai
yahi kaha tha na main nay tum say????
lo aj ik or bat kahta hoon
meri shairy ik dhoka thi
meray shair saray fareb thay
meri ghazlain sab bekar huin
meri nazmain sab ghubaar huin
mera funn mjh main ab raha nahin
to bhi dil main raha nahin
woh lafz jo teray nam say mansoob kiye
lay aaj un say rishta tora
ab k baad main nay likhna chora
meri nahin teri saza yahi hai
to meray jeewan,
meri yadon main kahin nahin hai

Sochta Hon Kya Likhoon ?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hon Kya Likhoon ?

Pholoon Ki Woh Mehakti Khushboo
Barish Ka Woh Bhega Pani
Aur Hawa Mein Thi Jo Rawani
Kya Uss Mousam Ka Khumaar Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hon
Sochta Hon Kya Likhoon?

Thi Chehre Par Unke Muskurahat
Aankhoon Mein Thi Thori Shararat
Aur Baatoon Mein Woh pyaar
Kya Unka Rangeen Mizaaj Likhoon?

Kuch Likhna chahata hon
Sochta Hon Kya Likhoon?

Unka Aaker Muskurana
Jo Rooth Jaon Tho Manana
Jate Jate Phir Rulana
Kya Unka Yeh Andaaz Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hon
Sochta Hon Kya Likhoon?

Yaadoon Mein Unke Ashk Bahana
Her Shaam Ek Diya Jalana
Soyee Umeed Ko Roz Jagana
Kya Unka Yeh Intezar Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hon
Sochta Hon Kya Likhon?

MUHABAAT HOO HE JATI HAY

MUHABAAT HOO HE JATI HAY
Karen Hum Laakh Chahen Koshishen Lekin
Mohabbat Ho Hi Jati Hai
Hamari Zindgi Jo Rasta Hai Ek
Hamen Is Raah Per Chalte Hoye
Ye Mil Hi Jati Hai
Mohabbat Talkh Hoti Hai
Magar Her Hal Main Hum Ko
Mohabbat Ki Sabhi In Talkhioun Ko Jhelna Ho Ga
Mohabbat Jis Ko Hoti Hai
Ye Khod Us Ko Huner Apna Sikhati Hai
Nahin Aisa K Ye Koi Hawa Ka Ek Jhonka Hai
K Jo Deewar Se Takraye
Aur Wapis Chala Jayee
Ya Phir Aanchal Ko Cho Ker Hi Guzar Jayee
Mohabbat Jis Kisi K Naam Hoti Hai
Hamesha Phir Usi K Naam Rehti Hai
Nahin Phir Chorti Daman
Azal Se Abad Tak Saath Rehti Hai
Nibhana Perta Hai Is Ko
Ye Hum Per Farz Hoti Hai
Chukana Perta Hai Is Ko
Ye Hum Per Qarz Hoti Hai
Karen Hum Laakh Chahe Koshishen Lekin
Igahen Jis Qadar Chahe Hum Jhuka Ker Chalen
Phir B Kabhi Qadmon Ki Aahat Per
Kabhi Ik Muskurahat Per
Nazar To Uth Hi Jati Hai
Mohabbat Ho Hi Jati Hai

tumhi milte to acha tha

jahan phoolo ko khilna tha wahin khilte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha
koi aakar humein pooche tumhein kaise bhulaya hai
tumhare khat ko ashkoN se shab-e-ghum mein jalaya hai
hazaron zakhm aise hainagar silte to acha tha
tumhi ko hum ne chaha tha tumhi milte to acha tha
tumhein jitna bhulaya hai tumhari yaad aai hai
bahar-e-noh jo ai haiwohi khusboo hi lai hai
tumhare lab meri khaatiragar hilte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha
jahan phoolo ko khilna tha wahin khilte to acha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte to acha tha

You're the one

You're the one that knows me best,
The one among all the rest.
The one who knows the real me,
The person no one else could see.

Without you here,
It wouldn't be the same.
I'd miss you so much,
I'd go insane.

I'll be by your side,
For whatever comes your way.
Trust me on this one,
By your side is where I'll stay.

We share many memories,
Good ones and bad,
Those memories were the best ones,
I've ever really had.

I miss the good times,
Whether it was laughter or tears.
But losing you,
Is my only fear.

There's not a day,
That I'm not thinking of you,
And how lucky I am,
To have a friend that tells me the straight out truth.

You're my best friend,
No matter what you do.
My definition of a best friend,
Is everything I see in you.

Mar kay jeena seekh raha hoon

Tanha rehna seekh raha hoon
Mar kay jeena seekh raha hoon

Mang kay pana seekh liya hai
Pa kay khona seekh raha hoon

Sabar ko zad-e-rah bana kar
Kanch pay chalna seekh raha hoon

Phirtay, phirtay sehra, sehra
Pyaas ko peena seekh raha hoon

Marham to rakhna na aaya
Zakhm khoorachna seekh raha hoon

Jeenay kay hain ajab taqazay
Zinda rehna seekh raha hoon

Madhooshee nay bohat sataaya
Hosh main rehna seekh raha hoon

Dar kar zehar kay pyaalay say
Such ko chupaana seekh raha hoon

Rotay rotay auron par
Khud pay hasna seekh raha hoon

MOHABBAT KII TABIYAT MEN

TUMHEN MUJH SE MOHABBAT HAI

MOHABBAT KII TABIYAT MEN
YE KAISAA BACHPANAA QUDARAT NE RAKKHAA HAI

KE JITNII PURAANII JITNII BHII MAZBUUT HO JAAYE
ISE TAA_IID-E-TAAZAA KII ZARUURAT PHIR BHII RAHTII HAI
YAQIIN KII AAKHIRII HAD TAK DILON MEN LAH_LAHAATII HO
NIGAAHON SE TAPAKTII HO LAHUU MEN JAG_MAGAATII HO
HAZAARON TARAH SE DIL_KASH HASIIN HAALE BANAATII HO
USE IZHAAR KE LAFZON KII HAAJAT PHIR BHII RAHTII HAI

MOHABBAT MAANGTII HAI YUUN GAVAAHII APANE HONE KII
KE JAISE TIFL-E-SAADAA SHAAM KO IK BIIJ BOYE
AUR SHAB MEN BAURAA UTHE
ZAMIIN KO KHOD KAR DEKHE
KE PAUDHAA AB KAHAAN TAK HAI

MOHABBAT KII TABIYAT MEN AJAB TAKRAAR KII KHUU HAI
KE YE IQRAAR KE LAFZON KO SUN-NE SE NAHIIN THAKTII
BICHHARNE KII GHARII HO YAA KO_II MILNE KII SA'AT HO
ISE BAS EK HII DHUN HAI
KAHO MUJH SE MOHABBAT HAI
KAHO MUJH SE MOHABBAT HAI

KUCHH AISII BESAKUUNII HAI VAFAA KII SAR_ZAMIINON MEN
KE JO AHAL-E-MOHABBAT KO SADAA BECHAIN RAKHTII HAI
KE JAISE PHUUL MEN KHUSHBUU KE JAISE HAATH MEN TAARAA
KE JAISE SHAAM KAA TAARAA
MOHABBAT KARNE VAALON KII SAHAR RAATON MEN RAHTII HAI
GUMANAAM KE SHAAKHHON MEN AASHIYAAN BANTAA HAI ULFAT KAA
YE AIN VISAAL MEN BHII HIJR KE KHADSHON MEN RAHTII HAI

MOHABBAT KE MUSAAFIR ZINDAGII JAB KAAT CHUKTE HAIN
THAKAN KII KARCHIYAAN CHUNTE VAFAA KII AJRAKEN PAHNE
SAMAY KII RAH_GUZAR KII AAKHIRII SARHAD PE RUKTE HAIN
TO KO_II DUUBTII SAANSON KII DORII THAAM KER
DHIIRE SE KAHTAA HAI
KE YE SACH HAI NAA
HAMAARII ZINDAGII IK DUUSRE KE NAAM LIKHII THII
DHUNDHALKAA SAA JO AANKHON KE QARIIB-O-DUUR PHAILAA HAI
ISII KAA NAAM CHAAHAT HAI
TUMHEN MUJH SE MOHABBAT THII
TUMHEN MUJH SE MOHABBAT HAI

MOHABBAT KII TABIYAT MEN
YE KAISAA BACHPANAA QUDARAT NE RAKKHAA HAI

Aik Lerki

Najanay Kin Ghum Kay Jugno'Aon Ko Chupaey Phirti hAy MuthiyOon May
Kai DinOon Say UdaSs Rahti Hay Aik Lerki SahailiyOon MaY


Kabhi Tou YOon Ho MuhabbAtoOn Ki Mithas LahjOon May GhooL DaikhAin
Guzerti Jati Hay Umer Sari UdaSs BaatOon Ki TalkhiyOon May


Hamari Khwahish Kay Rastoon May Mahak Rahi Hay WaFa Ki Khushboo
MuhabbatOon Nay Badal Diye Hain Tamaam Munzer UdassiyOon MaY


Hamain Khaber Hay Hawa MukhaliF Hay Roshni Kay PiyambEr Ki !
CharaaG Phir Bhi Jalaey RakhtaY Hain Hum MuhaBbAt K AandhiyOon May


Ye Jantay hain Teri Fitrat Wafa Say Na'Aashnaa Hay PhiR Bhi
Teri TraF Say LagaEy RahtAy Hain ApnAy DiL Ko TassaliyOon May


Kabhi Kabhi Tou MuhabbAtoOn Kay YaQeen LahjAy May GuftaGu Ho
Kahin Tou MerA Bhi NaaM AeY Teri WafA Ki KahaniyOon May

itna bi apni zaat se

itna bi apni zaat se koi juda na ho

nikle teri talaash mein apna pata na ho

dekho kay phir hawaon kay tevar badal gai

sahil ki rait par koi kuch likh raha na ho

tanhaian kuch is tarha basti hain mery saath

aakaas bi jesay shajar se juda na ho

na kar to mery jism kay zakhmon kay yoon hisab

ye deekh tery haat main pathar bacha na ho

apno se bi miloon to ye khouf sa rahe

chehre ke peechay or koi chehra chupa na ho!!!!!!!

Jab nahi aaye the tum,

Jab nahi aaye the tum,
tab bhi mere saath the tum.....
Dil mein Dhadkan ki tarah..
tan mein jeevan ki tarah........

meri dharti, mere mausam ,
mere din raat the tum....
jab nahi aaye the tum,
tab bhi mere saath the tum..............

Phool khilte the to aati thi..
tumhaari kushboo....
Har hasi'n shaam jagati thi..
tumhara jaadu..

aaine mein mere har din ki ..
mulaakaat the tum...
meri dharti, mere mausam...
mere din-raat the tum...

Adhmoondi aankh mein sajta hua..
ek khwaab the tum...
pahli barsaat mein bheega hua..
maahtaab the tum...

Hoth mere the magar inki ...
har ek baat the tum...
Dil mein Dhadkan ki tarah..
tan mein jeevan ki tarah........

meri dharti, mere mausam ,
mere din raat the tum....
jab nahi aaye the tum,
tab bhi mere saath the tum..............

sochenge kisi din

Khud apane liye baith ke sochenge kisi din
YuN hai ki tujhe bhul ke dekhenge kisi din
Bhatake hue phirate hain kai lafz jo dil men
Duniya ne diya vaqt to likhenge kisi din
Hil jayenge ik bar to arshon ke dar-o-bam
Ye Khaknashin log jo bolenge kisi din
Apas ki kisi bat ka milata hi nahin vaqt
Har bat ye kahate hain ke baithenge kisi din
Ai jan teri yad ke be-nam parinde
Shakhon pe mere dard ki utarenge kisi din
Jati hai kisi jhil ki gaharai kahan tak
Ankhon men teri Dub ke dekhenge kisi din
Khushbu se bhari sham men jugnu ke qalam se
Ik nazm tere vaste likhenge kisi din
Soyenge teri ankh ki Khlvat men kisi rat
Saye men teri zulf ke jagenge kisi din
Khushbu ki tarah ,asl-e-saba Khak numa se
Galiyon se tere shahar ki guzarenge kisi din
`Amjad` hai yahi ab ke kafan bandh ke sar se
Us shahar-e-sitamgar men jayenge kisi din..

deep jala rakha hai

Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai
Tere laut aane ka imkaan saja rakha hai

Saans tak bhi nahin lete hain tujhe sochte waqt
Hum ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hai

Rooth jaate ho to kuch aur haseen lagte ho
Hum ne yah soch ke hi tum ko khafa rakha hai

Tum jise rota hua chhorr gaye the ek din
Hum ne us shaam ko seeney se laga rakha hai

Chein lene nahin deta yeh kisi tor mujhe
Teri yaadon ne jo toofaan utha rakha hai

Jaane waale ne kaha tha ke woh laut aaey ga zaroor
Ek isi aas pe darwaaza khula rakha hai

Tere jaane se jo ek dhool uthi thi ghum ki
Hum ne us dhool ko aankhon mein bassa rakha hai

Mujh ko kal shaam se woh bohat yaad aane laga
Dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai

Aakhri baar jo aaya tha mere naam Wasi
Mein ne is khat ko kalejey se laga rakha hai…

Tuesday, April 14, 2009

Mujhay jo kuch bhi kehna tha

Mujhay jo kuch bhi kehna tha abhi main keh nahi paya
Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahin aya

Abhi wo karb likhna hai jisay mehsoos karta hoon
Abhi wo khwab likhnay hain jo ankhon main paltay hain
Mujhay unko bhi likhna hai jinhain main dhoondh na paya
Abhi wo log likhnay hain jo kho kar haath maltay hain
Abhi wo ashk likhna hai kabhi jo beh nahi paya
Meri tehreer ki zad main abhi bhi kuch nahi aya

Abhi to mausmon ki shokhyan tehreer karni hain
Abhi yo phool kaliyan aur sehe-e-shabnam bhi likhni hai
Uthaanay hain abhi darya say mujhko pyas kay pehray
Abhi to khushk paiRon pay mujhay rim jhim bhi likhni hai
Kahin pe dhoop likhni hai kahin pe teergi chaya
Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aya

Abhi to mujh ko likhni hai kisi ki reshmi zulfain
Kisi ki surmagii palkain kisi ki ankh ka kajal
Kisi ka tootta badal kisi k pyar ki qasam
Kiski ki ankahi batain macha dain dil me jo hulchul
Abhi woh sub likhna hai jo mera ishq kehlaya
Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aya

Abhi to wo safar likhna hai jo darpaish hai mujhko
Abhi to tumko apni pyas ka sehra dikhana hai
Abhi to hijr ki likhni hain sari matmi raatain
Abhi to aisay lamhon ka bhi tumko lutf sunana hai
Keh jin say ashk ankhon main, magar iss dil ko behlaya
Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aya

sham bahut udas hey

Koi tou guftgoo kero...........sham bahut udas hey
Tum merey paas he raho.....sham bahut udas hey

Kuch bhi tou boltey nahin, khoul yeh tourtey nahin
Mein nein kaha, suno zara....sham bahut udas hey

Mujh sey nah tum Milo mager , mujh sey nah kuch kaho mager
Sham sey AA key kuch kaho..sham bahut udas hey

Deikhoo , Bahut hey ser giraan umer e rawan ki dastaan
Iss mein nah aour ghum bhero sham bahut udas hey

Itna hey iztraab kion, karb mein hein junab kion
Milna hey ger tou AA Milo.......sham bahut udas hey

Maana keh tum khafa nahin,kehney kou kuch bacha nahin
Acha as sheir he perho...........sham bahut udas hey

Koi nahin idher udher , sarey khamoush baam o darr
Kis sey kahein dua karo .........sham bahut udas hey

Kuch tou ilaj e gham kero , Saber e khasta jaan sunoo
Aaj kissi kou khatt likhoo......... Sham bahut udas hey .

Ijazat Day Do***

Khud ko is dil main basane ki Ijazat Day Do
Mujh ko tum apna bananay ki Ijazat Day Do***

Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho
Phoolon say khud ko sajanay ki Ijazat Day Do…

Main kitna chahta hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhay yeh aj batanay ki Ijazat Day Do…

Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhay yeh sham sajanay ki Ijazat Day Do…

Mujhay Qaid kar lo apnay ishq main Uz..
Yeh jaan tum pe lootanay ki Ijazat Day Do…

Nahi hai shauk Imran ko bhoolnay ka mager
Mujhay yeh duniya bhoolanay ki Ijazat Day Do

aur.... ek aur shaam

aur.... ek aur shaam yun hi khaali gujar gayi
aaj fir se uska khayaal aaya,
aaj fir se game-e-dil sari mehfil nikaal aaya,
aaj fir se nabz tez hui fir ruk si gayi,
aaj fir har lamha yaad barha baar aaya,
aaj fir uska naam lete lete honth ruk gaye,
aaj fir usko chua jab gulab uthaya,
aj fir usko sason mein kheecha khushbu se foolon ki,
aaj fir yaad lautana uska rumaal aaya,
aaye na wo jinka intezaaar yun ruk ruk ke hua,
aaye na wo jinke liye nabz ehsaan humpe karti rahi,
aaye na wo yaadon mein bhi meri,
aaaya to yaad uska,
kehna ki badnaam na hone dena naam mera,
fir se chehra aakhon se kheencha,
naam uska jubaan se poncha,
dil mein dafn kiya, jaam chale,

aur.... ek aur shaam yun hi khaali gujar gayi...........!

Kahan hoty ho>?

Hijr mein khoon rulatay ho,Kahan hoty ho>?
Lot ker kyun nahi aaty,Kahan hoty ho ?

Jab bhi milta hai koi shaks baharon jesa
Mujh ko tum kesy bhulaty ho,Kahan hoty ho ?

Yaad aati hain akeely mein tumhari neendain
Kis taran khud ko sulaty ho,Kahan hoty ho ?

Mujh say bichry ho tau mehboob-e-nazar ho kis kay
Ajj kal kis ko manatu ho,Kahnaan hoty ho ?

Shub ki tanhai mein aksr yeh khiyal aata hai
Apny dukh kis ko sunaty ho,Kahan hoty ho ?

mausam-e-gul mein nasha hijr ka barh jata hai
mery sub hosh churaty ho,Kahan hoty ho ?

Serd raaton mein ksy tumhain bhula sakta hon ?
Aag c dil mein lagaty ho,Kahan hoty ho ?

Last Night

Last Night, I made up my mind
I’ll not think of you this time
Last Night, I promised myself
I’ll control my heartbeats and relax
So I closed my eyes
And prayed silently for a restful night
I saw an image im my mind
A shadow with a gorgeous smile

You and your funky styles
What a wicked way of teasing my lyf
Even the thought of leaving you
Send shivers down my spine

I smelt you in darkness of night
I saw you sitting on my bedside
I heard you telling me that you are all myn
In short, I felt you some where deep down my heart’s inside

The promise with myself was broken lyk every other night
Dawn’s approaching was the last thought before I finally closed my eyes
But I know you’ll visit me tonight
Because I wont be able to cast off your luv spell throughout my life

arzoo e seher

Mujhey arzoo e seher rahi yunhi raat bhar bari dair tak
Na bikhar sake na simat sake yunhi raat bhar bari dair tak

Hai bohat azaab aur akaily hum, shab e gham bhi meri taweel tar
Rahi zindagi bhi saraab aur rahi aankh tar bari dair tak

Yahan har taraf hai ajeeb samaan, sabhi khud pasand, sabhi khud numa
Dil e be-qaraaar ko na mila koi chara gar bari dair tak

Mujhay zindagi hai aziz tar isi wastey mery hamsafar
Mujhay qatra qatra pila zehr, jo karey asar bari dair tak

Na sakoon e jaan na shreek e gham mila is jahan mein chaar su
Teri yaad thi meray saath jo rahi darr b darr bari dair tak

Yahan shehar e dil bhi udaas hai aur ujaar ujaar si rah guzar
Rahey teray baad dhwaan dhwaan meray baam o dar bari dair tak

main bhi kaise batain likhta rehta hoon ?

cherey perhta, aankhain likhta rehta hoon
main bhi kaise batain likhta rehta hoon ?

saray jism darakhtoon jaise lagtay hain
aur bahoon ko shakhain likhta rehta hoon

tujh ko khat likhnay ke taiwar bhool gia
aarhi tirchi satrain likhta rehta hoon

tere hijr main aur mujhe kia kerna hai
tere naam kitabain likhta rehta hoon

tujh se mill ker saray dukh dohraoon ga
hijr ki sari batain likhta rehta hoon

sookhay phool, kitabain, zakham judai ke
teri sab soghatain likhta rehta hoon

us ki bheegi palkain hansti rehti hain
MOHSIN jab tuk ghazlain likhta rehta hoon

tujh say bichar k

tujh say bichar k hum bhi muqadar k ho gaye
phir jo bhi dar mila ussi dar k ho gaye

phir youn hua kah ghair ko dil say laga liya
andar wo nafratain thin kah bahir k ho gaye

kya log thay kah jan say badh kar aziz thay
abb dil say mahav nam bhi aksar k ho gaye

aye yaad-e-yaar tujh say karain kya shikayatain
aye dard-e-hijar hum bhi tau pathar k ho gaye

samjha rahay thay mujh ko sabhi nasahan-e-shehr
phir rafta rafta khud ussi kafir k ho gaye

abb k nah intezar karain chara gar ka hum
abb k gaye tau koo-e-sitamgar k ho gaye

rootay hoo ik jazaera jaan ko Faraz tum
daikho kitnay shehr samandar k ho gaye

.Darya ki hawa tayz thi

.Darya ki hawa tayz thi, kashti thi purani
roka tou bohat, dil nay magar aik na mani

mein bheegti aankhoon say usay kesay hata'oon
mushkil hai bohat abr mein deewar uthani

nikla tha tujhay dhoondnay ik hijr ka tara
phir us k ta'aqub mein ga'ee, sari jawani

kehnay ko na'ee baat ko'e ho tou suna'een
sou bar zamanay nay suni hai ye kahani!

ye pull hai yahan phool kahan, pichhlay bars k
hai din tou wohi doost, magar aur hai pani

kis tarah mujhay hota gumaan, tark-e-wafa ka
aawaz mein thhra'oo tha, lehjay mein rawani

ab mein usay qatil kahoon Amjad keh masiha
kia zakham-e-hunar chhor gaya, apni nishani!

jo guzar gaya , so guzar gaya

hum-e-waqat rang-o-malal kia jo guzar gaya , so guzar gaya
usay yaad kar k na dil dukha, jo guzar gaya , so guzar gaya

na gila kiya , na hafa hovey ,yunhi rastay mein juda hovey
na tu baiwafa, na mein baiwafa, jo guzar gaya , so guzar gaya

woh azal ki aik kitab tha ,woh guloon mein aik gulab tha
zara dair ka koi khawab tha, jo guzar gaya , so guzar gaya

mujhay patt jharoon ki kahaniaan ,na suna suna k udas kar
tu hizaan ka phool hai muskura ,jo guzar gaya , so guzar gaya

woh udas dhoop samait kar,kaheen wadioon mein utter chuka
isay ab na day , mere dil sadda, jo guzar gaya , so guzar gaya

yeh safar bhi kitna taweel hai, yahan waqat bhi kitna qaleel hai
kahan lot kar koi aaye ga ,jo guzar gaya , so guzar gaya

woh wafaein theen ,k jafaein theen ,na yeh soch kis ki khataein theen
woh tera hai is ko galay laga ,jo guzar gaya , so guzar gaya

tujhay aitbaar-o-yaqeen nahi ,nahi , dunia itni buri nahi
na malal kar mere sath aa, jo guzar gaya , so guzar gaya...

MOHABBAT

kabi zndage ka nam hai MOHABBAT
kabi moat ka pegam hai MOHABBAT

kabi MOHABBAT say melti hai khushe
kbhe gham ki sham ha MOHABBAT

kabi MOHABBAT ansoan ki barish hai
kabi hanse ka jaam ha MOHABBAT

kabi MOHABBAT ha dil ki jalan
kabi dil ka arman ha MOHABBAT

kabi MOHABBAT ha milan ka roap
kabi tanhae ki tarhan be_naam ha MOHABBAT

kabi MOHABBAT ha benam zindage
kabi zndage kahte ha mera naam ha "MOHABBAT"

Kuch iss adaa se

Kuch iss adaa se aaj wo pehlu-nasheen rahe
jab tak hamaare paas rahe hum nahin rahe

imaan-e-kufr aur na duniya wa deen rahe
ae ishq shaadabaash ki tanha hameen rahe

ya rab kisi ke raaz-e-mohabbat ki khair ho
dasht-e-junoon rahe na rahe aasteen rahe

ja aur koi zabt ki duniya talaash kar
ae ishq hum to ab tere qaabil nahin rahe

mujh ko nahin qubool do aalam ki vus'atein
qismat mein ku-e-yaar ki do gaz zameen rahe

dard-e-gum-e-firaaq ke ye sakht marhale
hairaan hoon main ki phir bhi tum itne haseen rahe

iss ishq ki talaafi-e-maafat dekhna
rone ki hasratein hain jab aansu nahin rahe.

thakti nahi thi aankhen

thakti nahi thi aankhen dekh dekh rasta
naye bahane banake der se tumhara aana yaad hai

kushboo main hawa ki dhoondna
tumhari mehak baarish ki boondon main apne ashka milana yaad hai

kabhi saath baithe baithe yuhi waqt bita dena
kabhi meri har baat par tumhara muskuraana yaad hai

kabhi bin bataye tumhaara sab kuch keh dena
kabhi keh ke bhi baat chupana yaad hai

kuch sunna chahte the hum tumse par
tumhara na keh paana yaad hai

abhi to mile bhi nahi the raaste humare
yun ek mod par raahon ka mud jaana yaad hai

chaha tha ek kahani bane humari magar
panno ka achanak bikhar jaana yaad hai

kahanni na sahi afsana to ban gaya
is afsaane ka har fasana mujhe yaad hai..

Hum aur tum mil nhi skty

Hum aur tum mil nhi skty
Jesy zamein aur asman ka mulap mumkin nhi
Jesy rail ke putriyan hmes juda rehti hein
Hum istrha se zindgy guzarty ja rhy hein
Hum to un sitaron ke manid hein
Jo bzahir to eik sath hoty hein
Lekin eik dosry se bht dour hoty hein
Humari kurbton ka natija udasyon ke surat niklta ha
Meri nzria tmhara sitara ksi aur se milta ha
Hmari tukrar mein pechtaye ka ehsas hota ha
To kefiyt iztrab mein ye khyal ata ha
Hum jo humsafar huye hein
Wo ik majbori ha
Jesy durya ke mujbori samundur mein utrta ha
Jesy phol ke mjbori k ik din murjhana hota ha
Aur ab humin prindy k puroon ke trha mjboor hona ha
Aur eik sath urna ha
Lekin hum aur tum mil nhi skty

Us ki Aankhon meinni

Us ki Aankhon mein Mohabbat Ka Sitara Ho Ga
ek Din Aaye Ga Woh Skhas Hamara Ho Ga

Tum Jahan Mere Liye Sipiyan Chunti hogi
Woh Kisi Aur He Dunya ka kinara ho ga

Zindagi! ab k mera naam na shamil karna
gar yeh tai hai k yehi khel dubara ho ga

jis k honay se meri sans chala karti thi
kis trah usddym k bagair guzara ho ga

yeh achanak jo ujala sa hua jata hai
dil ne chupkay se tera naam pukara ho ga

Ishq Karta hai to din raat usay socna hai
aur kuch zehan mein aaya to khasara ho ga

yeh jo pani mein chala aaya sunheri sa garoor
us ne darya mein kahin paun utara ho ga

kaun rota hai yahan raat k sunaton mein
mere jaisa he koi hijar ka mara ho ga

mujh ko maloom hai junhi main qadam rakhun ga
Zindgi tera koi aur kinara ho ga

Jo meri Ruh mein badal se garjtay hain WASI
us ne seenay mein koi dard utara ho ga

wohi shakhs-

Neendain mairee aankhon se churaata hey wohi shakhs--
so jaaon tau khaabon main bhi aataa hey wohi shakhs--
jis zakhm ka khaliq bhi koi aur naheen hey --
us zakhm pa marham bhi lagata hey wohi shakhs--
haathon ki lakeeron main bhi talashey wo mujhko--
hathon ki lakeerain bhi mitaata hey wohi shakhs--
rakhta hey mujhey qaid bhi ek band galli main--
rastey bhi niay mujhko sujhata hey wohi shakhs--
har lamha yeh koshish main ussey bhool hi jaaon--
pehlay se siwa yaad bhi aataa hey wohi shakhs--
ham jin se tallab roshinian kartey rahey hain--
aata hey tau shmain bhi bujhata hey wohi shakhs--
jo aaiena main apnay liay dhoond ka laaya--
us main bhi hamesha nazzar aata wohi shakhs--
us shakhs ki khaatir hoon main dunia se judaa bhi hey--
laiken maira dunia se bhi naataa hey wohi shakhs--

us nay meray seenay pe

us nay meray seenay pe sar rakh kar poocha
jana apnay jewan ka wo lamha to batlaoo mujh ko
jis k badlay mil sakty hain sab sitaray
daryaoon k saray moti
sawan ki pehli barish k saray qatray
ujlay chand ki sari kirnain
dhartay k seenay say liptay sabhi khazanay
saray mausam sabhi duain
phoolon ki rangeen qubain
pati pati parnay wali bheeni shabnam
us nay meray seenay per sar rakh kar poocha
jana apnay jewan ka wo lamha to bataoo
jis k badlay sab kuch apna sab kuch
apna sab kuch sab kuch day saktay ho
main nay us ka matha chooma aur bola
wo lamha........
jab pehli baar tum nay meray seenay per sar rakha tha