Tweeter

Wednesday, April 15, 2009

bay zameen logon ko

bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
bud-naseeb qadmoon ko
jis taraf bhi lay jain
raaston ki marzi hay
bay nishan jazeeron par
bud-guman shehron mai
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay
rok dain ya barhnay dain
tham lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
toor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay
ajnabi koi laa kar humsafar bana dain
saath chalnay walon ki rakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dain
raston ki marzi hay

No comments: