Shaam e gham jab bikhar gayee hogi
janay kis kis k ghar gayee hogi?
itni larzaan na thee chiragh ki lau
apnay saey say darr gayee hogi
chandni aik shab ki mehmaan thee
subah hotay hi marr gayee hogi
dair tak wo khafa rahay mujh say
door tak ye khabar gayee hogi
aik darya ka rukh badaltay hee
aik nadee phir utar gayee hogi
jis tarah wo safar pay nikla tha
saree raunaq udhar gayee hogi
raat sooraj ko dhoondnay k liay
ta ba hadd e sehar gayee hogi
meri yaadon ki dhoop chhaoon main
us ki soorat nikhar gayee hogi
ye talluq na nibha saka us say
ya tabyat hi bhar gayee hogi
Teri pal bhar ki dosti Mohsin!!!
Us ko badnaam kar gayee hogi..
No comments:
Post a Comment