Tweeter

Wednesday, April 15, 2009

acha laga.

tere ishq k khumaar mai raat bhar jaagna acha laga.
teri soch mai raat ka har pehar guzarna acha laga.
halki roshni mai tere saaye ka ehsaas acha laga.
kabhi yunhi palkon ko moor kar.
dil mai teri tasveer dekhna acha laga.
tanhayi mai tujh se baatein kar k bina wajah muskurana acha laga.
iss khamosh fizza mai teri mehak ka ghul jana acha laga.
teri yaad mai shayari likhte hoye subha ho jana acha laga.
phir likhte likhte tere khuwabon mai khoo jana acha laaga.
tere khuwab ki baahon mai HUm KO SOO jana acha laga....!!!!

1 comment: