Tweeter

Tuesday, April 14, 2009

Ijazat Day Do***

Khud ko is dil main basane ki Ijazat Day Do
Mujh ko tum apna bananay ki Ijazat Day Do***

Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho
Phoolon say khud ko sajanay ki Ijazat Day Do…

Main kitna chahta hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhay yeh aj batanay ki Ijazat Day Do…

Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhay yeh sham sajanay ki Ijazat Day Do…

Mujhay Qaid kar lo apnay ishq main Uz..
Yeh jaan tum pe lootanay ki Ijazat Day Do…

Nahi hai shauk Imran ko bhoolnay ka mager
Mujhay yeh duniya bhoolanay ki Ijazat Day Do

No comments: