hum-e-waqat rang-o-malal kia jo guzar gaya , so guzar gaya
usay yaad kar k na dil dukha, jo guzar gaya , so guzar gaya
na gila kiya , na hafa hovey ,yunhi rastay mein juda hovey
na tu baiwafa, na mein baiwafa, jo guzar gaya , so guzar gaya
woh azal ki aik kitab tha ,woh guloon mein aik gulab tha
zara dair ka koi khawab tha, jo guzar gaya , so guzar gaya
mujhay patt jharoon ki kahaniaan ,na suna suna k udas kar
tu hizaan ka phool hai muskura ,jo guzar gaya , so guzar gaya
woh udas dhoop samait kar,kaheen wadioon mein utter chuka
isay ab na day , mere dil sadda, jo guzar gaya , so guzar gaya
yeh safar bhi kitna taweel hai, yahan waqat bhi kitna qaleel hai
kahan lot kar koi aaye ga ,jo guzar gaya , so guzar gaya
woh wafaein theen ,k jafaein theen ,na yeh soch kis ki khataein theen
woh tera hai is ko galay laga ,jo guzar gaya , so guzar gaya
tujhay aitbaar-o-yaqeen nahi ,nahi , dunia itni buri nahi
na malal kar mere sath aa, jo guzar gaya , so guzar gaya...
No comments:
Post a Comment