Kahoon kis sy qissa e dard o gham
koi hamnasheen hy na yaar hy
jo anees hy teri yaad hy
jo shafeeq hy dill-e-zaar hy
kahoon kis sy qissa e dard o gham
tu hazar karta lagawatin
main kabhi na aata fareeb main
mujhy pehly is ki khabar na thi
tera do hi din ka yah pyar hy
kahoon kis sy qissa e dard o gham
yah naveed oron ko ja suna
ham aseer dam hain aay saba
hamin kya chaman hy raang per
hamin kya jo fasal e bahar hy
kahoon kis sy qissa e dard o gham
mujhy raham aata hy tujhy dekh kar
tera haal akbar e nohaGar
tujhy bhi chahy khuda kary
tu jis ka aashiq e zaar hy
kahoon kis sy qissa e dard o gham
koi hamnasheen hy na yaar hy
jo anees hy teri yaad hy
jo shafeq hy dill-e-zaar hy
kahoon kis sy qissa e dard o gham
No comments:
Post a Comment