Tweeter

Friday, April 17, 2009

Suna hai

Suna hai log usay ankh bhar k dekhtay hain
so us k shehar main kuch din thehar k dekhtay hain

suna hai rabt hai us ko kharab haloon se
so apnay ap ko barbad kar k dekhtay hain

suna hai dard ki gahak hai chasm-e-naz uski
so hum bhi us ki gali se guzar k dekhtay hain

suna hai us ko bhi hai shair-o-shayari se shagaf
so hum bhi mo'ajazay apnay humar k dekhtay hai

suna hai bolay tu baton se phool jhartay hain
ye baat hai tu chalo baat kar k dekhtay hain

suna hai raat usay chand takta rehta hai
sitare bam-e-falak se utar k dekhtay hain

suna hai din ko usay titlian satati hain
suna hai raat ko jugnoo thehar k dekhtay hain

suna hai hashar hain us ki gazal si ankhain
suna hai us ko hiran dasht bhar k dekhtay hain

suna hai raat se bhar kar hain kaklain us ki
suna hai sham ko saye guzar k dekhtay hain

siya chasm tu dekhay hain per na dekhay aise bhi
so us ko surma faroosh ah bhar k dekhtay hain

suna hai us k labon se gulab jaltay hain
so hum bahar pe ilzaam dhar k dekhtay hain

suna hai aaina timsaal hai jabeen us ki
jo sada dil hain usay ban sanwar k dekhtay hain

suna hai jab se hamail hain us ki gardan main
mizaj aur hi lal-o-gehar k dekhtay hain

suna hai chasm-e-tasavur se dasht-e-imkaan main
palang zaviye us ki kamar k dekhtay hain

suna hai us k badan ki tarash aisi hain
keh phool apni qubain kutar k dekhtay hain

wo hsar-o-qad hai magar bay-gil-o-murad nahi
keh us k shajar peh shagofe samar k dekhtay hain

bas ek nigah se lut'ta hai qafela dil ka
so rah-e-rawan-e-tamana bhi darr k dekhtay hain

suna hai us k shabistan se mutasil hai bahisth
makeen idhar k jalway bhi udhar k dekhtay hain

rukain tu gardishain us ka tawaaf karti hain
chalay tu usko zamana thehar k dekhtay hain

kisay naseeb k bay-perahan usay dekhay
kabhi kabhi dar-o-dewar ghar k dekhtay hain

kahanian hi sahi sub mubalghay hi sahi
agar woh khwaab hai tu tabeer kar k dekhtay hain

ab us k shaher main thehren k kooch kar jain
Faraz aao sitare safar k dekhtay hen

No comments: