Tweeter

Wednesday, April 15, 2009

dil-e-nadaan tujhay hoa kya hai

dil-e-nadaan tujhay hoa kya hai
aakhir iss dard ki dawa kya hai...

hum hain mushtaq aur woh baezaar
Ya-Ilaahi ye maajra kya hai...

jab ke tujh bin nahi koi maujood
phir ye hangaama aye Khuda kya hai...

hum ko unsay hai wafa ki umeed
jo nahi jaantay wafa kya hai...

jaan tum per nisaar karta hon
men nahi jaanta duaa kya hai...

main bhi moon main zabaan rakhta hoon
kaash poocho mudda kya hai...

haan bhala kar tera bhala hoga
aur darwesh ki sada kya hai...

main ne maanaa ke kuch nahi Ghalib
muft haath aaye tou bura kya hai.....

No comments: