Tweeter

Wednesday, April 15, 2009

Tum dariya tak pahunche ho

Tum dariya tak pahunche ho, hum jaayenge sagar tak,
jo khayal se door rahe hain, un khwabon ke manzar tak.

kahte ho hamraah jinen tum matalab ke hi saathi hain,
raah-e-safar me unka rishta, unke ghar ke baahar tak.

use yakin hai ik din wapas door shahar se lautengi,
wo aulaaden jinki khaatir, maan ne beche zewar tak.

banti rasoi, phir ghar aangan, phir baapu ki pension bhi,
ab to bhai nikal pade hain, ghar se lekar khanzar tak.

shor shahar me,magar nazar main ghahri si khamoshi hai,
qaid rakha hai khud ko hamne,ghar,aangan ya daftar tak

No comments: