Tweeter

Wednesday, April 15, 2009

meri shairi k daman main

meri shairi k daman main
tera hi basera hai
ik bhi shair kab hai mera
yah sb kuch to tera hai
meri ghazlon ki soch
meri nazmon ka unwa'n to
meray funn ki wajha
meray sukhn ka sama'n to
mujhay koi bhi aisa lafz yad nahin
jo main na yteray nam say mansoob na kiya ho
meray mann k andar bhi
fakat tera baseera hai
yahi kaha tha na main nay tum say????
lo aj ik or bat kahta hoon
meri shairy ik dhoka thi
meray shair saray fareb thay
meri ghazlain sab bekar huin
meri nazmain sab ghubaar huin
mera funn mjh main ab raha nahin
to bhi dil main raha nahin
woh lafz jo teray nam say mansoob kiye
lay aaj un say rishta tora
ab k baad main nay likhna chora
meri nahin teri saza yahi hai
to meray jeewan,
meri yadon main kahin nahin hai

No comments: