Tweeter

Tuesday, April 14, 2009

.Darya ki hawa tayz thi

.Darya ki hawa tayz thi, kashti thi purani
roka tou bohat, dil nay magar aik na mani

mein bheegti aankhoon say usay kesay hata'oon
mushkil hai bohat abr mein deewar uthani

nikla tha tujhay dhoondnay ik hijr ka tara
phir us k ta'aqub mein ga'ee, sari jawani

kehnay ko na'ee baat ko'e ho tou suna'een
sou bar zamanay nay suni hai ye kahani!

ye pull hai yahan phool kahan, pichhlay bars k
hai din tou wohi doost, magar aur hai pani

kis tarah mujhay hota gumaan, tark-e-wafa ka
aawaz mein thhra'oo tha, lehjay mein rawani

ab mein usay qatil kahoon Amjad keh masiha
kia zakham-e-hunar chhor gaya, apni nishani!

No comments: