Tweeter

Thursday, April 16, 2009

Mere Ham-Safar

Mere Ham-Safar
Mere Ham-Nashin
Maine Rab Se Manga To Kuch Nahi
Maine Jab Bhi Koi Dua maangi
Nahi Manga Kuch Bhi "TERE SIWA"

Ye TalabKiya K Mere Khuda
Sabhi Rahatain
Sabhi Chahatain
Wo Ata Karey Tujhe Manzilain

Ye Talab Kiya K Mere Khuda
Tujhe Bakht De
Tujhe Taaj De
Tujhe Takht De

Mere Ham-safar
Mere Chara-Ger
Ye Hai MOHABBAT Ka Katin Safar
Mere Saath Chalna Zara Soch Ker
Zara Dekh Tu Mera Hosla
Mere Paas Jo Bhi Wo Hai Tera
Nahi Or Kuch Bhi "TERE SIWA"

Meri Dosti
Meri Zindagi
Meri Khamoshi
Meri Be-Basi
Mera Ilm Bhi Mera Naam Bhi
K Meri Subah K Meri Shaam Bhi
K Jo Mil Sakey Mere Daam Bhi
Wo Sabhi Kuch Tujhe Ata Karey

Mere Chara-Ger Tu Yaqeen Ker
Mujhe Mangna To Na Aa Saka
Maine Phir Bhi Mangi Yahi Dua
K Gawahi De Ga Mera Khuda
Maine Jab Bhi Us Se Talab Kiya
Nahi Manga Kuch Bhi "TERE SIWA"

No comments: