Tweeter

Saturday, July 24, 2010

Aye Khuda Tune Muhobbat Ye

Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai?
Gar Banaye To Muhobbat Main Judai Kyun Hai?

Kyun Diya Pyar Mujhe Iski Zaroorat Kya Thi?
Meri Barbadi Mein Shamil Teri Hikmat Kya Thi?
Meri Raahon Mein Khushbu Ka Safar Rehta Tha
Dil Mein Aabaad Gulaboun Ka Nagar Rehta Tha
Zindagi Khaar Bhari Raah main Layi Kyun Hai?
Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai?


Mai Hoon Bikhrii Huii Gardish Main Sitarey Merey
Gam Ke Tufan Main Doobe Hain Kinare Merey
Na Khatavaar Na Mujrim Na Gunahgar Hoon Main
Sach Tu Yeh Hai Ki Muhobbat Kii Parastar Hoon Main
Yeh saza Phirbhi Merey Hissey Main Ayee Kyun Hai?
Aye Khuda Tune Muhobaat Ye Banae Kyu Hai?

Main Agar Roun Tu Sehra Ko Samandar Kar Doon
Sakht Ho Jaoon Agar Mome Ko Pathar Kar Doon
Raakh Ho Jaye Jahaan Main Jo Agar Aah Bharun
Aasma Toot parey Tujse Jo Fariyad Karoon
Etni Gehraaee Mere Ishq Main Aai Kyun Hai?
Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banaye Kyun Hai?
Agar Banaye Tu Muhobaat Mein Judai Kyun Hai?

Her Lamha

Janey kyun shikast ka azaab liyee phirta hun
Main kiya hun aur kiyaa khwaab liyee phirta hun

Uss ney ik baar kiya thaa sawal-e-mohabbat
Main har lamha wafaa ka jawab liyee phirta hun

Uss ney pochaa key kab sey nai soyee?
Main tub sey rat jagoon ka hisaab liyee phirta hun


Uss ki khwaish thii key mery ankhoon mai pani dekhay
Main uss waqt sey aankhoon main selaab liyee phirtaa hun

Afsoos key phir bhii woh meray na huey
Main jiss key aarzoo key kitaab liyee phirta hun

Tuesday, July 13, 2010

TheLiveRadio First Picnic Lunch, Dinner, Drinks & Lots Of Fun

Date:
Sunday, 01 August 2010
Time:
09:00 - 20:00
Location:
Sunway Farmhouse & Sunway Lagoon

799/- Rupee Per Head

Families Are Also Allowed
Make This July Memorable With TheLiveRadio.Com

24th July Is Last Date For Registrations
For Registration Contact Now @

Asher - 0342-2991194
Stranger - 0321-7985042


For Any More Info Join Us
Http://Chat.TheLiveRadio.Com/


Saturday, July 3, 2010

Tumper Ghazal Likhu Ya Tumhe GhazaL Likhu !~

Tum par ghazal likhu ya tumhe ghazal likhu
Jiski har ada ho shayri, us nazneen ko kya likhu
Tumhe aasman likhu tumhe chandni likhu
Jo khud noor-e-jahan lage, us roshni ko kya likhu
Tumhe aarzoo likhu tumhe justujoo likhu
Jo duao me farishto ki shamil ho, us dua ko kya likhu
Tumhe dibar likhu apna, ya dost main likhu
Jo ajnabi hoker lage apna sa, us rishte ko kya likhu
Tumhe haseen likhu sabse ya mehjabeen likhu
Haseen huro se jinhe kehte hain, woh lafz kya likhu
Tumhe apna main likhu ya paraya main likhu
Akayla nam hain Asher sath iske, kya naam tera likhu

Thursday, June 3, 2010


Bina Jurm o Khata Khud Ko Koi Aisi Saza Dena
Bahut Mushkil Hai Meri Jan Tumhein Bilkul Bhula Dena

Mere Maula! Agar Tu Ne Dobara Zindagi Bakhshi
To Bas Itni Guzarish Hai Mujhy Pathar Bana Dena

Main Zehni Tor Par Khud Ko Zara Tayyar Kar Loon Gi
Bichar Jany Se Kuch Pehlay Mujhay Humdum Bata Dena

Tumhari Yeh Shrarat Aj Tak Naqsh Hai Dharkan Par
Daby Paaon Chaly Ana,Mera Jhumka Hila Dena

Phir Is Ke Baad Jis Ke Pass Bhi Tum Jao,Ijazat Hai
Mujhy Ik Baar Apny Naam Ki Mehandi Laga Dena

Faqat Itna Kaha Tha Na,Mujhy Kuch Roshnee De Do
Tumhein Kis Ne Yeh Bola Tha,Meri Basti Jala Dena

Jisay Barish Ke Pani Mein Baha Kar Muskuraty Thy
Mujhy Kaghaz Ki Wo Kashti Zara Phir Se Bana Dena

Umar Bhar Phir Tumhara Rasta Takney Se Acha Hai
Ke Tum Jany Se Kuch Pehly Meri Ankhein Bhuja Dena

Tumhein Is Bar Khat Mein Faqat Yeh Bat Likhni Hai
Ke Sawan Laut Aya Hai,Mujhy Jhoola Jhula Dena!



Ye daulat bhi le lo, ye shoHrat bhi le lo
Bhale cheen lo muJhse meri jawaani

Magar muJhko lauta do bachchpan ka saawan
Wo kaagaz ki kasthi wo baarish ka paani

Mohalle ki sabse nishaani purani
Wo buDhiya jise bachche kehte the naani

Wo naani kee baatoN mein pariYoN ka DeRa
Wo chehre ke JhuriYoN meiN sadiYoN ka phera

BhulaaYe nahiN bhool saqta hai koi
Wo choti see raateN wo lambi kahaaNi

KaDi dhooP meiN apne ghar se nikalna
Wo chiDiya wo bulbul wo thithli pakaDna

Wo guDiya ki shaadi pe laDna jHagaDna
Wo JhooloN se girna, wo giR ke sambhalNa

Wo pithal ke challoN ke pyaare se tho'fe
Wo TuTi hui chudiYoN ki nishaani

Kabhi re't ke ooNche Tilon pe jaana
GharOnde banana, banaake miTaana

Wo maasoom chaahat ki tasveer apni
Wo khwaboN khiloNo ki taabir jaageer apni

Na duniYa ka gham tha na rishtoN ke bandhan
BaDi khoobsoorat thi wo zindgaani


Muhobat ik Dua hai

Muhobat ik Dua hai
Mujhe bus ye Dua daina
Khata koi jo ho jaye
Kabhi lehja badal Jaye
Zaroori baat reh jaye
Mera chehra bigar jaye
Agar pehchaan na paoon
Tumhain agar jaan na paoon
Dua daina
Muhobat ik Dua hai
Tum mujhe bus yeah Dua daina
Sitaray toorna paoon
Tumharay kaam na aaon
Tawazun jo na reh paye
Nazar bandi nazar aye
Ishara ho shararat ka
Koi dhoka basarat ka
Dua daina
Muhobat ik Dua hai
Tum mujhe bus yeah Dua daina
Main tum se keh nai paya
Tumharay naam ka saya
Maray humrah rahta hai
Mujhe her pal yeah kehta hai
Koi mushkil jo dar aye
Tasawur mara dhundlaye
Dua daina
Muhobat ik Dua hai
Tum mujhe bus ye Dua daina….

Aik Chota Sa Larka Tha Main Jin Dinon
Aik Melay Main Pohncha Humakta Hua
Ji Machalta Tha Aik Aik Shae Par Magar
Jaib Khali Thee Kuch Mol Lay Na Saka
Laut Aya Liye Hasratain Saink-ron
Aik Chhota Sa Larka Tha Main Jin Dinon

Khair Mehroomion Ke Wo Din To Gaye
Aaj Mela Laga Hai Isi Shan Say
Aaj Chahoon To Aik Ek Dukaan Mol Loon
Aaj Chahoon To Sara Jahan Mol Loon
Naar-sai Ka Ab Ji Main Dharka Kahan
Par Wo Chhota Sa, Alhar Sa Larka Kahan?



Aaj bohat din baad

Aaj bohat din baad sunai hai barish ki awaz
Aaj bohat din baad kisi manzar ne rasta roka hai
Rim jhim ka malboos pehn ker yaad kisi ki aai hai
Aaj bohat din baad achanak aankh yunhi bhar aai hai

Aankh aur manzar ki wusa’t mein chaaro’n janib bearish hai
Aur barish mein, dur kahin ik ghar hai jis ki
Aik aik eent pe tere mere khuwab likhe hain
Aur us ghar ko jaane wali kuch galiya’n hain
Jin mein hum dono k saaey tanha tanha bheeg rahe hain
Darwaze per qufl parra hai aur dareeche sooney hain
Deewaro’n per jami huwi kaai mein chup ker
Mousam hum ko dekh rahe hain
Kitne badal hum dono ki aankh se ojhal
Baras baras ker guzr chuke hain,


“Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..

Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?
main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti.

Woh kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasiyat si hai?
main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.

Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.

Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?
main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai.

Woh kehti hai k tumhari baaton main itni gehrai q hai?
main kehta hon k teri judai k baad mujh ko yeh aizaaz mila hai



Wo Kehti hai Suno Jana

Wo Kehti hai Suno Jana
Muhbbat Moom Ka Ghar Hai
Tabish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De Ais ko

Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kch Or Ho Tu Ho
Muhbbat Ho Nai Sakti

Wo Kehti Hai Sada Aisay He
Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Ais Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nai Sakti

Main Kehta Hoon
Muhbbat Kaya Hai
Yeh Tum nay shikaya hai
Mujay Tum Say Muhbat K Siwa
Kch b Nai Ata

Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nai Hai Ab

Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Buht Muj Ko sattay Hain
Mager Sach Hai Muhbbat Main
Judai Saath Chalti Hai

Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do gaye

Main Kehta hoon
Kabhi Ais Baat per socha nai main nay
ager ik pal ko b sochon tu
saansien ruknay lagti hain

wo kehti hai tumhien muj say
muhbbat ais kader kio hoon
Keh main ik aam si lerki
tumhien kio khas lagti hon

main kehta hoon
kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho
meri dewangi kio hoon
yeh khud he jaan jao gi

wo kehti hai
mujay warftgi say dekhtay kio ho
keh main khud ko buht
keemti mehsoos kerti hoon

main kehta hon
Mata-e-jaan buht anmool hoti hai
tumhien jab dekhta hoon zindgi
mehsoos kerta hoon

wo kehti hai mujay alfaz k jugno nai miltay
keh tumhien bata sakon
keh dil main mere
kitni muhbbat hai

main kehta hoon
muhbbat tu Niighaon say jhalkti hai
tumhari khamosi muj say
tumhari baat kerti hai

wo kehti hai
batao na kis ko khonay ser darta ho
batao kon hai wo jisay
yeh musam bulatay hain

Main kehta hoon
yeh meri sheri hai aiena dil ka
zara dekho batao kaya
tumhien ais main nazar aya

wo kehti hai
Atif ji buht baatien banatay ho
mager sach hai yeh baatien
buht he shaad rakhti hain

main kehta hoon
yeh sab baatien yeh fasany ik bhana hain
keh pal kch zindagani k
tumhare saath kat jaien
phir us k baad khamoshi ka
dilkash raqs hota hai
nagihaien bolti hai or
lab khamosh rehtay hain


Tuesday, April 20, 2010


Kaha tha na...
is tarha sotay hoye chorde ke mut jana
mujhe be-shak jaga dena
bata dena

ke tumhain rasta badlna hai
mairy hud se nikalna hai

Tumhain kis baat ka dur tha ??????????
kia main janay nahien daita?
kahien pe qaid ker laita??????

aray pagal muhabbat ki tabiyat main zaberdasti nahien hoti
jisay rasta badlna hai usay rasta badlanay se
jisay hud se nikalna ho usay hud se nikalnay se

na koi rok paya hai na koi rok paye ga

tumhaien kis baat ka dur thaaa???????

mujhe jaga daitay


bus yeah yaad rakhna ae hum dum
ab in jagti Aankhoon main
khuwab tumharay hi bastay hain
in Aankhoon ke ansoonoon main
tumhary yaadoon ke deep
ban ke moom chalaktay hain


bus yaad yeah rakhna ae mairay hum dum
in Aankoon ki roshni ke bujhnay tuk
main intizar ke deep jalaon ga
mairay ghar ke rastay pe
teray qadmoon ki ahat ko sun ke hi jaon ga

apni sansoon ke thumnay tuk
apnay jism ke mernay tuk
tujhe dil main basoonga

bus tera kehlaoon ga

ke sansoon ke thamnay ki wajha bhi sirf yeahi ho gi

"is duniya main na sahi , agli duniya main to mairy ho gi"

Jab to paida howa kitna majboor ta,


Jab to paida howa kitna majboor ta,
Yeh jahan terey soochon se bhi door ta,

Hath poin bhi tabh teray apne na thay,

Terey ankhon main duniya k sapnay na thay,

Tujhe ata tah jo sirf rona hi tah,

Dhodh pee keh tera kaam sona hi tah,

Tujh ko chalna sikhaya Maan ney teri,

Tujh ko dil main basaya ta Maan ne teri,

Maan k saey main parwan charthne laga,

Waqt k sath kadh tera barthne laga,

Zoor-e-bazoo peh to bat kerne laga,

Khudh hi sajhne laga,khudh sanwarney laga,

Ik din aik haseena tujhay bhaa gaey,

Bhan k dulhan phir wo taray gher agay,

Farz apne se to door hone laga,

Bejh nafrat ka khudhi bonay laga,

Phir to Maan Baap ko bhulane laga,

Teer baton k phir to chalane laga,

Baat beh baat to unse larthnay laga,

Qaida ik bhana phir to phartne laga,

Yaad ker tujhse Maan ney kaha aik din,

Ab humara guzara nahi teray bin,

Sun k yeh baat to taish main agayah,

Tera gusa terey aqal ko kha gayah,

Josh main a keh to ne maan se kaha,

Main ta khamosh dhakta hi raha,

Aj kehta hon pecha mera chorth do,

Jo hai rishta mera tumse wo torth do,

Joi ja ke kahain kaam dhanda karo,

Loog martay hain tum bhi kaheen ja maroo,

Beth ker ahain bhartay they wo raat bhar,

Unki ahoon ka howa na tujh per asar,

Tera Baap ik din chala roth ker,

Kaisay bikharey they phir terey Maan tooth ker,

Phir wo bebas ajal ko bulate rahe,

Zindaghe her pal ush ko satate rahe,

Aik din moot ko bhi tarsh agaya,

Uska rona bhi taqdeer ko bha gayah,

Ashak ankhon main thay wo rawana howey,

Moot ka aik hichki baha nah howey,

Aik sakon uske chahray per chane laga,

Phir to mayat ko uski sajaney laga,

Mudatain ho gaey aj bortha hai to,

Jo parta totey khatiya peh korta hai to,

Teray bachay bhi ab tujhse dartey nahi,

Nafratain hain mohabatain wo kartay nahi,

Dard main to pukarey oh mere Maan,

Teray dum se hi roshan thay donon jahan,

Waqt chalta hai waqt rokta nahi,

Toth jata hai wo jo jhokta nahi,

Bhan k ebrat ka to ab nishan reh gayah,

Dhondhay zoor tera kahan reh gayah,

To Ehkam-e-Rabi bhulata raha,

Apnay Maan Baap ko to satata raha,

Kaat laey wohi to ney boya tah jo,

Tujh ko kaishe milay to ney khoya tah jo,

Yaad ker k gayah doer ronaey laga,

Kal jo to ney kiya aj hone laga,

Moot mangay tujhay moot atey nahi,

Maan ki surat nighahon se jathe nahi,

To jo khansay to ulad dhanthay tujhay,

To hai nasor dukh kon bantay tujhay,

Moot aey ghey tujh ko magar waqt per,

Bhan hi jaey ge terey qabar waqt per,

Qadar Maan Baap ki to pehchan laey,

Apney janat ko duniya main pehchan laey,

Aur laita rahey jo barthon ki duwa,

Ush k donon jahan uska hami Khuda,

Yaad rakhna tum merey is baat ko,

Bhool jana na Rehmat ki Barsaat ko..

Share

Ajab Din Thay Mohabbat K

Ajab Din Thay Mohabbat K
Ajab Mousam Thay Chahat K

Kabhi Gar Yaad Aa Jain Tu Palkoon Pay Istaray Jhimilatay Hain...

Kisi Ki yaad Main Jaagna Maamool Tha Apna....

Kabhi Gar Neend Aa Jati Tu Hum Yeh Sooch Letey Thay.....

Abhi Tu Humaray Wastay Rooya Nahin Ho Ga

Abhi Sooya Nahin Ho Ga

Abhi Hum Nahin Rootay

Abhi Hum Nahin Sootay

So Phir Hum Jagtay Aur Us Ko Yaad Kartay Thay

Akelay Beth Kar Weeraan Dil Aabaad Kartay Thay

Humaray Samnay Taaroon Ki Jhurmat Main Akela Chaand Hota Tha....

Jo Is K Husn K Aagay Buhat Hi Maand Hota Tha.......

Falak Pay Raks Kartay Unginat Roshan Sitaaroon Ko Jo Hum Tarteeb Detey Thay

Tu Us Ka Naam Banta Tha

Hum Aglay Rooz Jab Miltay Tu Gusri Ki Har Bekaali Ka Zikar Kartay Thay

Har Ek Qissa Sunatay Thay........

Kahan Kis Waqt Kis Tarhaan Say

Dil Dharka Batatay Thay........ ..

Main Jab Kehta Keh "Jaana" Aaj Tu Raat Ko Main Ek Pal Nahin Sooya

Tu WOh Khamoosh Rehti Thi

Par Us Ki Neend Main Doobi Huey Do Jheel Si Aankhain

Achanak Bool Uthti Theen....... ...

Main Jab Us Ko Batata Tha Keh Main Nay Raat Roshan Sitaaroon Main Tumhara Naam Dekha Hai......... .

Tu Woh Kehti Thi K Tum Jhoot Kehtay Ho........

Sitaaray Main Nay Dekhay Hain Aur In Roshan SItaaroon Main Tumhara Naam Likha Tha......... ..

Lagta Hai Ab Apnay Sitaaray Mil Hi Jayein Gain

Magar Us Ko Khabar Kia Thi

Kinaaray Mil Nahin Saktay

Mohabbat Ki Kahani Main

Mohabbat Karnay Walay K

Sitaaray Mil Nahin Saktay...... ......

Share

soch ke kia paao gey..


Aao...
or na socho.
soch ke kia paao gey..
jitna bhi samjhey ho.
itna hi pachtaao gey.
Aao..
or na socho..
tum ehsas ki jis manzil per ab pohnche ho.
wo meri dekhi bhali hai.
jane bhi do.
is ka kab tak sogg manana..
yeh dunia andar se kion itni kaali hai..
Aao..kuch ab jeene ka saman karen hum.
such ke hathon,,,hum ne jo shakal paaye hai..
jhoot ke hathon.
woh mushkil asaan karen hum.
tum meri ankhon me ankhen dal ke dekho.
phir me tum se saari jhuti qasmen khaaun.
phir tum woh sari jhuti baten dohrao.
jo sab ko acchi lagti hen.
jesey...
wafa karne ki baten..
jeene ki...
marne ki baten..
hum dono yun waqt guzaren.
.me tumko kuch khuwaab dikhaun.
tum mujhko kuch khuwaab dikhao.
jinki koi taabeer na ho.
jitne din yeh mail rahe ga..
dekho acha khel rahe ga.
or kabhi dil bhar jaye to.
kehdena tum..
beet gaya milne ka mausam.
Aao.
or na socho...
soch ke kia pao gey...

Share

*** USAY TUM KUCH NAHI KEHNA ***


*** USAY TUM KUCH NAHI KEHNA ***


Suno k Raigzaar-e-Umar Ka Yeh Akhri Zarra


Meri Bey Jaan Hatheli Se Phisalta Ja Raha Hay Ab


Meri Guzri Musafat Ki Thakan Ab Odh Ayi Hay


Mery Qasid...Suno. .. Janey Se Pehlay Itna Kehna Hay


Mery Ujrrey Shehar k Un Gali Koochon Mein Jao To


Jahan Bachpan Bitaya Tha...Jahan Sab Kuch Ganwaya Tha


To Uss Veeran Khandar Ko...Payaam- e-Aakhri Dena


Wahin Aangan Mein Dayein Hath Pe...Ek Pairr Dekho Ge


Usii Boorhay Shajar k Sin Raseeda Se Badan Par Tum


Mery Bey Rung Haathon Ki Lakeeron Ki Tarah...Ik Jaal Dekho Ge


Usii Peepal Ki Chhaon Mein


Kisi Masoom k Dil Ne...Kayii Sapney Sajaye Thy


Kisi Ki Aankh k Aansu...Kisi Dil Ne Bahaye Thy


Kisi Ki Jheel Aankhon Ne Kayii Sagar Lutaye Thy


Bohat Narmii Se Uss Peepal Ko Chho Kar...Itna Keh Dena


k Ab Aankhon k Yeh Darya..Kahin Sagar Nahi Hotay


Muqqadar Jin Ka Sota Hay...Kabhi Phir Vo Nahi Sotay


Usay Kehna Mery Qasid...


Jinhon Ne Umar Sari Teri Chhaon Mein Basar Kar di


Vo Aakhir Pal Tumharey Paas Aa Kar...Kuch Na Keh Paye


Lipat Kar Tum Se Ro Lein Ge...Agar Duniya Mein Reh Paye


Suno Qasid...


Wahan Se Chand Qadam k Faslay Par...Aik Chokhat Hay


Vohi Chokhat Hay Yeh Pyarey


Jahan Sajday Kiye Hum Ne...Jahan Par Zindagi Haari


Jahan Kuch Pal Jiye Hum Ne...Jahan Par Jaan Yeh Waari


Jawaan Margi Meri Par Shehar Yeh Matam Kanaan Hoga


Magar...Uss Aik Chokhat Par...Ajab Sa Hi Samaan Hoga


Wahan Raqsaan Sabhi Chehron Pe Kuch Ra'anaiyan Hon Gi


Wahan Bajtii Chaharon Soo...Bohat Shehnaiyan Hon Gi


Wahan Jis Ki Nazar Mein Jeet Janay Ki Thakawat Ho


Magar...Uss Dil Nasheen Chehray Pe...Gehrii Muskurahat Ho


Samjh Lena Mery Qasid...Yehi Qaatil Mera Thehra...


Meri Aankhein Yeh Le Jao...Mera Yeh Kaam Kar Dena


Usay Jee Bhar k Takna Tum...Meri Aankhon Mein Bhar Lena


Usay Chupkey Se Keh Dena


Tumharii Jeet Ki Khatir...Yeh Jeewan Jis Ne Haara Hay


Nahi Tum Ho Sakii Uski...Vo Mar Kar b Tumhara Hay


Nahi...Balkey. ..Mery Qasid...

Usay Tum Kuch Nahi Kehna......

Share

Tumhain janay ki jaldi thi....

Tumhain janay ki jaldi thi....
So apni jald baazi main
Tum apnay lams ki kirnain..Nazar k zaviye..poaron ki shamain
Mere seene main bharakta chhor aye ho...
Wahan takiye k neechay
Kuch sunehray rung ki tooti hui saansain
Kisi nozayeda khushbu k taza khuwabchay
Bistar ki shiknon main giray kuch khoobru lamhay
Dressing room main hanger se latki aik sud rangi hansi ko
Bas achanak hi pas-e-parda latakta chhor aye ho
Tumhain janay ki jaldi thi ab aisa hay k jab bhi
Be-khayali main sahi..! lekin kabhi jo is taraf niklo
To itna yaad rakhna...!!
Ghar ki chaabi saddar darwazay k bayen hath par
Aik khoal main rakhi milay gi



Or tumhain maaloom hay
kapron ki almaari hamesha se khuli hay
safe ki chaabi to tum ne khud hi gumm ki thi
So woh tabh se khula hay or us main kuch
Tumhari choorian ' aik aadh angoothi or un k beech
Kuch zard lamhay or un lamhon ki girhon main bandhi kuch lams ki kirnain
Nazar k zaviye ' poaron ki shamain or sunehray rung ki tooti hui
Saansain milain gi Or woh sab kuch jo mera or tumhara
Mushtarka sa ek asasa hay
Simat paye to le jana.........................................!!!!

Mujhay janay ki jaldi hay......!!!
Share

Tuesday, March 16, 2010

Lagta hai kavi hoo jaunga !!!


Lagta hai kavi hoo jaunga !!!
===================
Lagta hai kavi hoo jaunga
Sunne laga hun dil ki baten,
Aane lagin suhani yaaden,
Shayad kalam uthaunga !Lagta hai..!

Sooni chhat aur raat andheri,
Gum-sum ghoom raha hun,
Bahki-bahki purvai mein,
Shayad main kho jaunga !Lagta hai..!

Sapno ke mahlon par chadkar,
Chand sitaron se baate kar,
Reton ke ek tajmahal mein,
Apna shish jhunkaunga !Lagta hai..!

Beer ras bhari kavita likhkar,
Karuna se akshhadit kar,
Chhui-mui ki daali ko,
Apna brahmsatra banaunga!Lagta hai..!

Phulon se baatein karta hun,
Apne mein ghum sa rahta hun,
Umr sitam ki lagti lambi,
Kaise ise bitaunga !Lagta hai..!

Chalte mein sapne dikhte hain,
Sote mein chalne lagta hun,
Nazuk chotein soi-soi,
Inko nahin jagaunga !Lagta hai..!

Lalach kya tera bholapan,
Kya swarath ke tane-bane,
Jhunth makhmali poshakon mein,
Shayad! ghut ke mar jaunga !Lagta hai..!

Share

Wo Ek Masoom Si Chahat


Wo Ek Masoom Si Chahat
Wo Ek Benam Si Ulfat
Tu Meri Zaat Ka Hissa
Tu Meri Zeest Ka Qissa
Mujhe Mehsus Hota Hy
Tu Mery Pas Hy Ab B
Tu Jub Jub Yad Ata Hy
Nigahon May Samata Hy
Zuban Khamosh Hoti Hy
Magr Ye Ankh Roti Hy

Mein Khud Se Poch Leti Hon
Jise Mein Yad Krti Hon
Usay Kya Pyar Hai Mujh Se
Jwab “Han” Soch Leti Hon
Usay B Pyar Hai Shayad
Isi “Shayad” Se Wabasta Hy Ab To Hr Khushi Meri
Yahi Ek Lafz “Shayad” Ban Gya Hy Zindgi Meri..

Share

W0h Larki Shayad Pagal Thi


W0h Larki Shayad Pagal Thi

Din Rat Hi Gum_Sum Rehti Thi

Kuch Sharm_0_Haya Ka Paikar Thi

Kuch Narm Mizaji Rakhti Thi

Aank0n me Neem Nasha Sa Tha

Baton Se Dewani Lagti Thi

Hamraz Na Tha Us Ka Koi

Bus Khud Se Batein Karti Thi

Ek Sharm Ka Aanchal Mein Aksar

Jazbat Chupay Rakhti Thi

Darti Thi Juda Ho Jane Se

Ya Pyar Se Shaiyd Darti Thi

Kya Sabar Tha Us Dewani Ka

Kya Zabt_e_Mohabat Rakhti Thi

Hy Rashk Muje Us Pagli Pe

Kya Khub Mohabat Karti Thi.

Share

Ek Gulab Tha


Ek Gulab Tha
Bara Udaas Tha
Rang Bhi Us Ka Tha Kuch Ora Ora Sa
Shabnam Ke Ansoo Rawaan The Us Ke

Dil Tha Us Ka Kuch Bujha Bujha Sa
Bahar Ka Tha Mausam Phir Bhi Na Khila Tha
Dali Se Tha Who Apni Kuch Jhuka Jhuka Sa

Main Ne Jo Dekha Usee
Pass Ja K Pocha Us Se
Kyon Hai Udaas Tu?

Kyon Kerta Hai Dil Barbad Tu?
Kis Ko Kerta Hai Yaad Tu?
Yeh Sun Ker Who Rone Laga

Shabnam K Ansoo Se Moon Dhone Laga
Or Rotay Rotay Bas Yeh Kehne Laga
Mera Yaar Mujh Ko Chor Geya Hai

Mera Pyar Mujh Se Moun Moor Geya Hai
Ab Main Kis K Liye Khil Jaoon
Ab Main Kis K Liye Khushboo Mahkaoon

Mujhe Kon Apne Dil Se Lagae Ga
Mujh Ko Kon Apni Sansoon Me Basae Ga
Mera Chaman Ujar Geya Hai

Mera Yar Mujh Se Bichar Geya Hai
Bas Ab To Her Lamha Us Ki Yaad Hai
Bas Beqarari Hai, Tarap Hai Faryaad Hai

Mujh Ko Koi Mere Yaar Se Mila Dai
Mujh Ko Koi Mera Pyar Lotaa De
Woh Aye Ga Tu Khil Jaoon Ga Main
Apni Zindagi Se Mil Jaoon Ga Main.

Share

Baarish Jo Ho Rahi Hai


Tune Kagaz Pe Mera Naam Likha Hoga
Barish Jo Ho Rahi Hai
Zarur Tune Mere Khat Ko Chua Hoga
Ye Barish Jo Rahi Hai

Bekhauf Main, Aur Sadak Tanha
Aisa Pehele Nahi Hua Hoga..
Barish Jo Ho Rahi Hai..

Mein Is Khayal Se Khush Hun..
Ki Tu Bahut Khush Hua Hoga…
Barish Jo Rahi Hai…

Tere Saath Bigh Rahi Hu Main
Tu Najane Kahaan Hoga…
Baarish Jo Ho Rahi Hai..

Saraapa Pani Pani Hun Main
Ki Tune Mujhe Dekha Hoga..
Baarish Jo Ho Rahi Hai..

Qaid Rakha Hai Jin Yaadon Ko
Tune Aj Unhe Chuma Hoga..
Baarish Jo Ho Rahi Hai..

Aaiina Nahi Dekh Paungi Aaj
Usmein Tera Chehra Hoga..
Baarish Jo Ho Rahi Hai..

Mila Aur Kho Gaya, Badan Se..
Barish Ka Pani Raha Hoga..
Baarish Jo Ho Rahi Hai..

Bepanaah Hasi Hai Aaj Komal
Pata Thaa, Phir Rona Hoga..
Baarish Jo Ho Rahi Hai

Share

Main Khush To Hun Lekin…



Yehi Wada Liya Tha Na K

Hamesha Khush Hee Rehna Hay

Lo Dekho Dekh Lo Aa Kr

Meri Aankhon Ko Dekho Tum

Ye Ktni Shokh Lgti Hain

Wo Wada Kr Diya Poora

Mgr Ik Baat Hay Janaa

Kbhi Jo Wqt Mil Jaye

To Meri Shayeri Parhna

Tumhay Mehsoos To Hoga

Kahin Talkhi Bhara Lehja

Kahin Pay Sard Sa Lehja

Kahin Pay Dard Ki Jheelain

Kahin Lehjay Ki Karwahat…

Suno….

Main Khush To Hun Lekin…

Mgr Ab……
Share

Meri Tanhai Kehti Hai


Meri Tanhai Kehti Hai K Mujhko Chorr Day Ab Tu
Mujhe Tu Dafn Ker Day Apnay Dil Main Bhool Ja Ab Tu
Tere Weeran Kamray Main, Main Aksar Raks Karti Thi
Tere Har Aik Gham Ko Apnay Andar Jazb Karti Thi
Tujhe Mujhse Mohabbat Thi Main Tujhko Achi Lagti Thi
Teri Har Raat Mere Sath Hi Aksar Guzarti Thi
Tu Jab Bhi Apnay Dil Ka Haal Mujhko Sunata Tha
Main Bass Chup Chaap Sunti Thi….Main Aakhir Kar Kia Sakti Thi…?
Magar Main Tujhse Aajiz Aachuki Hon Chorr De Mujhko
Tu Koi Dhoond Le Sathi Aur Apna Maan Lay Usko.

Share

Farz Mera Tha Aur Main Nibhaata Raha


Farz Mera Tha Aur Main Nibhaata Raha
Zakham Khaata Gaya Muskurata Raha

Beech Dariya Main Us Ne Nazar Pher Li
Main Kinaaron Se Nazrein Milata Raha

Raat Amavas Ke Ghangor Sannate Main
Mere Kamre Main Chaand Aata Jata Raha

Dost Sab Aandhiyon Ke Mureed Ho Gaye
Main Chiraagon Ko Apne Jalata Raha

Mere Bistar Pe Phoolon Ki Chaadar Rahi
Raat Bhar Neend Ko Aazmaata Raha

Aye Faraz Itne Ghum Haadson Ne Diye
Umr Bhar Unko Apna Banata Raha

Share

Uspe Khuli Jati Mere Shoaq Ki Shiddat Saari,


Uspe Khuli Jati Mere Shoaq Ki Shiddat Saari,
Dekhay Hotay Jo Mere Paon K Chaalay Usnay,

Jiska Har Aiyb Zamanay Se Chupaya Maine,
Mere Qissay Sar-e-Bazar Uchalay Usne,

Jab Usay Meri Muhabbat Pe Bharosa Hi Nahi Tha,
Kyun Diye Meri Wafaon K Hawalay Usnay,

Meri Dam Torti Khuwaish Ka Khayal Aa Na Saka,
Apnay Armaan Hemesha Hi Nikalay Usnay,

Ik Mera Hi Toh Hath Na Thama Usnay,
Warna Girtay Huwe Kitnay Hi Shamabalay Usne.....!!!!

Share