Tweeter

Thursday, April 23, 2009

dard phail jae to…

dard phail jae to…
Aik waqt aata hay
Dil dharakta rehta hay
Aarzu gazeedon kay, hoslay nahin chaltay
Dasht-e-bey yaqeeni mein
Aasray nahin chaltay
Reh rawon ke aankhon mein
Manzilain na jab tak hon
Qaflay nahin chaltay
Ik zara tawajjah sey, dekhiye to khulta hay
Loag un pey chaltay hain
Raastay nahin chaltay
Sochnay,samajhnay sey
Saath saath chalnay sey
Dooriyan simat te hain
Faslay,nahin chaltay
Bakht saath chalta hay
Tala’a aazmaon kay
Waqt raam kernay mein
Tajzeyon kay dao kia!!
Tajrubay nahin chaltay
Ishq kay elaqay mein, hukm-e-yaar chalta hay
Zaabtay nahin chaltay
Husn ki aadalat mein
Aajizi to chalti hay
Martabay nahin chaltay
dOsti kay rishton ke
perwarish zaroori hay
silsilay ta’alluq kay
khud sey ban to jatay hain
lekin………..
in shagufon ko tootnay, bikhernay sey
rokna bhe perta hay
chahaton ke mitti mein
aarzoo kay podon ko ,seenchna bhe perta hay
ranjishon ke baton ko,bhoolna bhe perta hay….!!!

No comments: