kabhi main aalam e imkaan se guzar jata hoon
or kabhi jism ki daldal main utar jata hoon
ye bhara sheher kabhi mujh main simatt ata hay
kabhi main sheher main har gaam bikhar jaata hoon
sheher se rehti hay ik jang musalsil din bhar
sheher jab haanpnay lagta hay to ghar jaata hoon
is kashaakash main hi milta hay nishaan hone ka
jab bhi takmeel ka ehsaas ho ,mar jata hoon
le urri roshni hi jurat e beenaaii meri
ab to main din k ujaalay se bhi dar jaata hoon
apne zaray se hi nazar aatay hain taahad e nazar
ik zara sar ko jhukaaoon to bikhar jaata hoon
aik ik aankh main apni hi kahaani dekhoon
apna chehra nazar aata hay jidhar jaata hoon
sheher sajtay hain, guzargaahen chamak utthti hain
apne hi khoon main dooboon to sanwar jaata hoon
"SHAAM" khulta hi nahi mout ka hangaam hay kiya
waqt ruk jaata hay ya main hi ttheher jaata hoon !!!
No comments:
Post a Comment