Tweeter

Tuesday, April 14, 2009

thakti nahi thi aankhen

thakti nahi thi aankhen dekh dekh rasta
naye bahane banake der se tumhara aana yaad hai

kushboo main hawa ki dhoondna
tumhari mehak baarish ki boondon main apne ashka milana yaad hai

kabhi saath baithe baithe yuhi waqt bita dena
kabhi meri har baat par tumhara muskuraana yaad hai

kabhi bin bataye tumhaara sab kuch keh dena
kabhi keh ke bhi baat chupana yaad hai

kuch sunna chahte the hum tumse par
tumhara na keh paana yaad hai

abhi to mile bhi nahi the raaste humare
yun ek mod par raahon ka mud jaana yaad hai

chaha tha ek kahani bane humari magar
panno ka achanak bikhar jaana yaad hai

kahanni na sahi afsana to ban gaya
is afsaane ka har fasana mujhe yaad hai..

No comments: