Tweeter

Wednesday, April 15, 2009

ho na duniya main koi

ho na duniya main koi hum sa bhi piyaasa logo
G main aati hay k p jaayn ye darya logo

kitni is sheher k sakhiyon ki suni thin baaten
hum jo aaye to kisi ne bhi na poocha logo

itifaaqan hi sahi par koi dar to khulta
jhilmilaata pas e chilman koi saaya logo

sab k sab mast rahe apne nihaan khaanon main
koi kuch baat musaafir ki bhi sunta logo

hongay is sheher main kuch us k bhi parrhne waalay
yoon to ye shakhs bhi mash'hoor tha khaasa logo

phir wohi dasht wohi dasht ki tanhaaii hay
wehshat e dil ne kahin ka bhi na rakha logo

G ki G hi main rahi hasraten toofaanon ki
ye safeena to kinaare hi pe dooba logo

band hui jaati hain ,pasaaren paaon
neend c neend humen ab na utthana logo

aik hi shab hay taweel,itni taweel, itni taweel
apne ayyaam main amroz na farda logo

ab koi aaye to kehna k "musaafir to gaya"
ye bhi kehna k,bhala ab bhi na jaata logo.

No comments: