Tweeter

Wednesday, April 15, 2009

MOHABBAT KII TABIYAT MEN

TUMHEN MUJH SE MOHABBAT HAI

MOHABBAT KII TABIYAT MEN
YE KAISAA BACHPANAA QUDARAT NE RAKKHAA HAI

KE JITNII PURAANII JITNII BHII MAZBUUT HO JAAYE
ISE TAA_IID-E-TAAZAA KII ZARUURAT PHIR BHII RAHTII HAI
YAQIIN KII AAKHIRII HAD TAK DILON MEN LAH_LAHAATII HO
NIGAAHON SE TAPAKTII HO LAHUU MEN JAG_MAGAATII HO
HAZAARON TARAH SE DIL_KASH HASIIN HAALE BANAATII HO
USE IZHAAR KE LAFZON KII HAAJAT PHIR BHII RAHTII HAI

MOHABBAT MAANGTII HAI YUUN GAVAAHII APANE HONE KII
KE JAISE TIFL-E-SAADAA SHAAM KO IK BIIJ BOYE
AUR SHAB MEN BAURAA UTHE
ZAMIIN KO KHOD KAR DEKHE
KE PAUDHAA AB KAHAAN TAK HAI

MOHABBAT KII TABIYAT MEN AJAB TAKRAAR KII KHUU HAI
KE YE IQRAAR KE LAFZON KO SUN-NE SE NAHIIN THAKTII
BICHHARNE KII GHARII HO YAA KO_II MILNE KII SA'AT HO
ISE BAS EK HII DHUN HAI
KAHO MUJH SE MOHABBAT HAI
KAHO MUJH SE MOHABBAT HAI

KUCHH AISII BESAKUUNII HAI VAFAA KII SAR_ZAMIINON MEN
KE JO AHAL-E-MOHABBAT KO SADAA BECHAIN RAKHTII HAI
KE JAISE PHUUL MEN KHUSHBUU KE JAISE HAATH MEN TAARAA
KE JAISE SHAAM KAA TAARAA
MOHABBAT KARNE VAALON KII SAHAR RAATON MEN RAHTII HAI
GUMANAAM KE SHAAKHHON MEN AASHIYAAN BANTAA HAI ULFAT KAA
YE AIN VISAAL MEN BHII HIJR KE KHADSHON MEN RAHTII HAI

MOHABBAT KE MUSAAFIR ZINDAGII JAB KAAT CHUKTE HAIN
THAKAN KII KARCHIYAAN CHUNTE VAFAA KII AJRAKEN PAHNE
SAMAY KII RAH_GUZAR KII AAKHIRII SARHAD PE RUKTE HAIN
TO KO_II DUUBTII SAANSON KII DORII THAAM KER
DHIIRE SE KAHTAA HAI
KE YE SACH HAI NAA
HAMAARII ZINDAGII IK DUUSRE KE NAAM LIKHII THII
DHUNDHALKAA SAA JO AANKHON KE QARIIB-O-DUUR PHAILAA HAI
ISII KAA NAAM CHAAHAT HAI
TUMHEN MUJH SE MOHABBAT THII
TUMHEN MUJH SE MOHABBAT HAI

MOHABBAT KII TABIYAT MEN
YE KAISAA BACHPANAA QUDARAT NE RAKKHAA HAI

No comments: