Tweeter

Wednesday, April 15, 2009

Yaad karte hain jab woh din hum aaj bhi

Yaad karte hain jab woh din hum aaj bhi
hain kitne tanha tere bin hum aaj bhi
kaisi doori huee hai jaana kya bataaon main
guzre lamho main thay jo sapne kabhi
toote sitaare ki tarha gire hain woh aaj bhi

aisi hawa chali thi, dekho chalti hai wo aaj bhi
leke jaati hai kis taraf humne jaana na aaj bhi
aag kaisi jali thi jo jalti gayee
kaisa toofan tha jo ruka na kabhi
meri khushion ne rukh badla aaj bhi

tum thay anjaan ho bekhabar aaj bhi
hum thay maherbaan tumpe hain fida aaj bhi
baat kehdi thi lekin rahi ankahee
milay to sunayenge fasaane kabhi na kabhi
mil jaye do ghari fursat k, maangte hain dua aaj bhi

pal do pal, badalti hai apna rasta kismat aaj bhi
aazmaati hai, leti hai imtihaan aaj bhi
ibtida hansi se huee, intihaa main sabar likha
humne to har mushkil lamhe ko safar ka dost samjha
kya hai chhupa us aakhri din main, uska hai intizaar aaj bhi

No comments: