Kuch Dard Liye Iss Duniya Mein Rehna Parrta Hai
Roz Jeena Parrta Hai Roz Marna Parrta Hai
Aagahi Ke Azaab Ke Saath Guzarti Hai Zindagi To
Iss Karb-e-Musalsal Ko Hameisha Sehna Parrta Hai
Agarchey Nafs Ki Ghulaami Say Azaad Ho Bhi Jaaye Bashar
Phir Bhi Zarooraton Ke Jihaad Ko Larrna Parrta Hai
Bohat Unwaanon Say Ibarat Hotey Hain Iss Jahaan Ke Gham
Har Chand Ke Khushi Ke Nisaab Ko Bhi Parrhna Parrta Hai
Iss Umer-e-Raigaan Ke Haadsaat Say Hum Sambhal Hi Gaye
Maslehat Ke Tehat Hi Sahi Ye Kaam Bhi Karna Parrta Hai
Katthin Aur Dushwaar Raaston Per Chal Kar Milta Hai Wasl
Uss Ke Liye Hijr Ki Pur-Khaar Raah Say Guzarnaa Parrta Hai
'Bhoot' Taluqaat Jab Banney Lagey Rooh Ka Azaab
Inn Saarey Taluqaat Say Phir Mukarna Parrta Hai !
No comments:
Post a Comment