Tweeter

Tuesday, April 14, 2009

Koi shaam ghar bhi raha karo

yunhi besabab na phira karo
Koi shaam ghar bhi raha karo
woh ghazal ki sachi kitab hai
usey chupke chupke parha karo

koi hath bhi na milayega
jo gale milo ge tapak se
yeh naye mizaj ka shehar hai
zara faasle se mila karo

kabhi husn parda nasheen bhi ho
zara ashiqana libaas main
Jo main ban sanwar k chala karun
mere sath tum bhi chala karo

mujhe ishtahar si lagti hain
yeh muhabaton ki kahanian
jo kaha nahi woh suna karo
jo suna nahi woh kaha karo

nahi behijaab woh chand sa
k nazar ka koi asar na ho
usey itni garmi-e-shoq se
bari dair tak na taka karo

yeh khizan ki zard si shaam main
jo udaas pair k paas hai
yeh tumhare ghar ki bahar hai
isey ansuon se hara karo

abhi raah main kayi mor hain
koi ayega koi jayega
tumhian jis ne dil se bhula dia
usey bhoolne ki dua karo

No comments: