Tweeter

Monday, April 13, 2009

aflaaq ka saaya

aflaaq ka saaya hay jo kuch hay zameen par hay
hay khuwaab kaheen mera, tabeer kaheen par hay

kuch aisi nazar daali hangaam-e-widaa uss ne
main khud tou chala aaya, dil ab bhi waheen pe hay

ae fikr-e-samaa'wati, ae taaer-e-lahoti!
parwaaz se kya haasil jo kuch hay zameen par hay

"mojood" mein rehnay se "aainda" nahi milta
asbaat ka har jalwa moqoof "nahi" par hay

uss lamhay k jadoo se phir waqt nahi nikla
jo cheez jahan par thi, wo cheez waheen par hay

chahay tu yunhi rakhay, chahay tu sahar kar dae
iss raat ka mustaqbil uss maa_jabeen par hay

iss umr ki fursat mein har cheez ka hona hay
janat bi yaheen hongi! dozakh jo yaheen par hay

No comments: