Tweeter

Monday, April 13, 2009

Teri zulfein bikharne ko

Teri zulfein bikharne ko ghataa keh doon tho kaisa ho
Tere aanchal ke urne ko sabaa keh doon tho kaisa ho

Bazahir chup ho lekin phir bhi aankhon mein hain afsaane
Teri khaamoshiyon ko bhi sadaa keh doon tho kaisa ho

Mere shikwe shikayat par bhi mujh se pyar karti ho
Teri chahat ko main sab se judaa keh doon tho kaisa ho

Teri yaadein mere dil par ajab sa shor karti hain
Teri yaadon ko gar main ek nashaa keh doon tho kaisa ho

Tumhaare bin mujhe jeena bara dushwaar lagta hai
Tumhein main apne jeene ki wajaah keh doon to kaisa ho

Jo tum naraaz na ho to mujhe ek baat kehni hai
Agar main pyar se tum ko wafaa keh doon tho kaisa ho

No comments: