Qariib maut kharii hai zaraa Thahar jaao
Qazaa se aaNkh larii hai zaraa Thahar jaao
Thakii thakii sii fazaayeN bujhe bujhe taare
Barii udaas gharii hai zaraa Thahar jaao
Nahiin ummiid ki ham aaj kii sahar dekhen
Ye raat ham pe karii hai zaraa Thahar jaao
Abhii na jaao ki taaron kaa dil dharaktaa hai
Tamaam raat parii hai zaraa Thahar jaao
Phir is ke baad kabhii ham na tum ko rokenge
Labon pe saaNs aDii hai zaraa Thahar jaao
Dam-e-firaaq men jii bhar ke tum ko dekh to luuN
Ye faisale kii gharii hai zaraa Thahar jaao
No comments:
Post a Comment