Abhi Zid Na Ker Dil-e- Be Khabar
Ke Pas-e-Hujoom-e-Sitam Garan
Abhi Koun Tujh Se Wafa Karay
Ke Samait Ker Teri Kirchiyan
Tere Haq Main Khud Se Dua Karay
Abhi Zid Na Ker Dil-e Be Khabar
Ke Tah-e-Ghubar-e-Gham-e-Jahan
Kahan Kho Gaye Tere Chara Gar
Ke Rah-e-Hayat Main Rayegan
Kahan Kho Gaye Tere Hamsafar
Abhi Gham Guzaron Ki Chot Seh
Abhi Kuch Na Sun Abhi Kuch Na Keh
Abhi Zid Na Ker Dil-e-Be Khabar
Kabhi Yun Bhi Ho Ke Sar-e-Ufaq
Tere Dukh Ke Chand Damak Uthain
Koi Tees Khud Se Chamak Uthy
Kisi Shehr-e-Gham-e-Farosh Main
Koi Zakhm Khud Se Kuraid ker
Sabhi Aks Khud Se Khurach Kabhi
Kisi Ayene Pe Na Deed Ker
Kabhi Yun Bhi Jashan-eTarb Mana
Kabhi Is Tarah Se Bhi Eid Ker
Abhi Zid Na Ker Dil-e-Be Khabar
No comments:
Post a Comment