zindagii ke meley main
Khahishon ke rele main
tum se kia kahain jaanaa
is qadar jhamele main
waqt ki ravaani hai
bakht ki girani hai
sakht bezamini hai
sakht laamakaani hai
hijr ke samandar main
takht aur takhtey ki
aik hi kahani hai
tum ko jo sunani hai
baat go zara si hai
baat umr bhar ki hai
umr bhar ki batain kab
do ghari main hoti hain
dard ke samandar main
anginnat jazirey hain
beshumar moti hain
aankh ke darichey main
tum ne jo sajaya tha
baat us diye ki hai
baat us gile ki hai
jo lahuu ki Khilvat main
chor ban ke ataa hai
lafz ke fasilon par
Tuut Tuut jata hai
zindagi se lambi hai
baat ratjage ki hai
raste main kaise ho
baat takhaliye ki hai
takhaliye ki baaton main
guftagu izafi hai
pyaar karane walon ko
ik nigah hi kaafi hai
ho sake to sun jaao
ek din akele main
tum se kia kahain jaana
is qadar jhamele main
ZINDAGI KEY MELEY MAIN
No comments:
Post a Comment