Tweeter

Tuesday, March 16, 2010

Farz Mera Tha Aur Main Nibhaata Raha


Farz Mera Tha Aur Main Nibhaata Raha
Zakham Khaata Gaya Muskurata Raha

Beech Dariya Main Us Ne Nazar Pher Li
Main Kinaaron Se Nazrein Milata Raha

Raat Amavas Ke Ghangor Sannate Main
Mere Kamre Main Chaand Aata Jata Raha

Dost Sab Aandhiyon Ke Mureed Ho Gaye
Main Chiraagon Ko Apne Jalata Raha

Mere Bistar Pe Phoolon Ki Chaadar Rahi
Raat Bhar Neend Ko Aazmaata Raha

Aye Faraz Itne Ghum Haadson Ne Diye
Umr Bhar Unko Apna Banata Raha

Share

No comments: