Aayina kyun na dun k tamasha kahen jise
Aisa kahan se laun k tujhsa kahen jise
Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein
Guldasta-e-nigah suweda kahen jise
Phunka hai kisne goshe muhabbat mein ai Khuda
Afsun-e-intazar tamanna kahen jise
Sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye
Wo ek musht-e-khak k sahra kahen jise
Hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar se nihan
Shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise
Darkar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
Subh-e-bahar panba-e-mina kahen jise
"Ghalib" bura na man jo waiz bura kahe
Aisa bhi koi hai k sab acha kahen jise
No comments:
Post a Comment