Jalta hun hijr-e-shahid-o-yad-e-sharab main
Shauq-e-sawab ne mujhe dala azab main
Kahte hain tum ko hosh nahin iztarab main
Sare gile tamam hue ek jawab main
Phaili shamim-e-yar mere ashk-e-surKh se
Dil ko gazab fishar hua pech-o-tab main
Rahte hain jama kucha-e-janan main khas-o-am
Abad ek ghar hai jahan-e-kharab main
Badnam mere giriya-e-ruswa se ho chuk
Ab uzr kya raha nigah-e-behijab main
Matlab ki justaju ne ye kya hal kar diya
Hasrat bhi nahin dil-e-nakamayab main
Nakamiyon se kam raha umr bhar hamain
Piri main yas hai jo hawas thi shabab main
Kya jalwe yaad aye k apni khabar nahin
Be-bada mast hun main shab-e-mahtab main
Paiham sajud pa-e-sanam par dam-e-wida
"Momin" Khuda ko bhul gaye iztarab main
No comments:
Post a Comment