Tumharey Baad Iss Dil Ka Khandar Acha Nahin Lagta
Jahan Ronaq Nahin Hoti Woh Ghar Acha Nahin Lagta
Naya Ikk Humsafar Chahoon To Asaani Say Mil Jaaye
Magar Mujh Ko Ye Andaaz-E-Safar Acha Nahin Lagta
Khuli Chat Par Bhi Jaa Kar Chand Say Kuch Guftagoo Kar Lo
Ghazal Kehna, Pas-E-Deewar-o-Dar Acha Nahin Lagta
Musalsal Guftagoo Bhi Apni Wehshat Ko Barrha Deti Hai
Musalsal Chup Bhi Koi Humsafar Acha Nahin Lagta
Musawar, Painting Achi Hai Lekin Kya Kaha Jaaye
Shajar Hum Ko To Be-rang-o-Samar Acha Nahin Lagta
Khadokhaal-o-Kad-o-Kaamat Ba-zahir To Pehley Jaisey Hain
Woh Jaisa Pehley Tha Abb Iss Qadar Acha Nahin Lagta
No comments:
Post a Comment