Tweeter

Monday, April 13, 2009

Phir b aisa lagta tha

Zindagi may har lamha,

Aas pass roz-o-shab,

Us k apnay logoo ka pur hujoom mela tha,

Phir b aisa lagta tha,

woh bohat akeela tha,

Bay hissab tanhai,

Us k sath rehti thi,

Aur us k senay may gham ki aik aab-e-joo bay kinaar behti thi,

Raat ki khmoshi may siskiyoo ki awazain,

Aasmaa say aati thein,

Subah tak jagati thein,

Aasmaa ki vus`sat may,

Koi us ka sathi tha,

uda hony k Mosam mein Juda hona Zruritha,

Hamen Us ki Mohabat k siwa hona Zruri tha.

Sar.E.Tsleem Kham karty Mizaj-e-yar jo hota, Magar is k Liye us ka
.

Khuda hona Zruri tha.

Palat kr daikhna us ko Zruri is Liye bhi tha, Fareeza tha Mohbt ka Ada hona Zruri tha.

Sabhi Lamhy Sabhi Mosam Sabhi Manzar usi k thy,

to kia is Kar.E.Faani mei mera hona Zruri tha.

Woh Pathar hum ny daanista jo apny hath sy pheinka,,

Nishana jo bhi tha apna khata hona Zruri tha.

No comments: