Kaisay Naseeb Ke Dunya Mai Muskura k Rahay Yea Woh Maqam Hai Jo Khoo Rola Rola K Rahay
Bara Tha Naaz Humain Apnay Zabt Par Laikin Jahan Kay000. Zulm Tou Is Ko Bhi Azma Kai Rahay
Humain Sukoon Tha Barbaad Ho Kai Rehne Main. So Apnay Haath Sai Hum Ashiyaan Jala K Rahay
Suna Tha Ishq Ki Taseer Tou Muslim Hai So Hum Bhi Raah Mai Palkain Sada Bicha K Rahay
Bas Aik Baar Othayi Nazar To Thi Yea Saza Tammam Umer Nigahoun Ko Phir Jhuka K Rahay
Ana Ki Haar Howi , Aur Qasam Bhi Toot Gayi Hawa Nai Kiya Kia , Magar Is K Pass Ja Kay Rahay
Ata'ye Zulm , Ada'ye Junoo Ko Raas Aye Woh Sang Otha K Rahay , Hum Bhi Zakhm Kha K Rahay
Tamaam Umer Jafaoun Ka Samna Hoga,. Saraab! Aap Jo Khogar Younhi Wafa K Rahay .........
No comments:
Post a Comment