Mujhe kasie yakeen aaye
muhabat tum ne b ki hai.
tumain jab bhi kabhi dekha,
sada khush bash hi paya
humesha hansty rehte ho
kabhi rote nai paya
kabhi ghamgeen nahi dekha
hamesha mast rahte ho
muhabat karne walon per
kabhi masti nahi chhati
kabhi ronaq nahi aati
na wo sarsabz hoty hain
muhabat karne walay dil
hamesha zard hote hain
tu phir kaise yakeen kar loon
muhabat tum ne b ki hai
No comments:
Post a Comment