Khyal-o-khwab ko ab mil nhi rhi hy amaan,
Na ab wo masti-e-dil hy na ab wo nasha-e-jaan,
Na toot jay kahin silsila tamana ka,
Jo dard-o-dil ka tha rishta usy bahaal kro,
Nhi hy gardish-e-sagar, gardish-e-khoon hy
So meri garrdish-e-khoon se he kuch sawal kro
Zara to silsila-e-rang ka khayal kro
Zwaal-e-hal k din hain koi kamal kro
Hy fasl-e-yaas to koi freb he dein
koi umeed dilao k aarzu to rhy,
Nazer uthy na uthy dil he kuch thehr jay
Qadam uthen na uthen justju to rhy
Ho chaara-e-ghum-e-jaan kya?
Ye guftgu to rhy,
K dil k haal ko pur maajra to rkhna hy!
Kheyal-e-naaz-o-lihaz-e-ada to rakhna hy
Jo dil ka khoon hua hy usy bhula dein kya?
Hisaab-e-beish-o-kme-khoon baha to rakhna hy!
Shab-e-draaz-e-judai hy aarzu ko hareef
So zakhm-e-shoq ko jalta hua to rakhna hy!
NA TOOT JAY KAHEEN SILSALA TAMANA KA........
No comments:
Post a Comment