Sahifon Mein Muqqadar Ke Likha Iss Zaat Ka Dukh Hai
Mujhey Duniya Mein Jo Dukh Hai Unn Hi Safhat Ka Dukh Hai
Mujhey Milney Say Pehley Kho Gaya Tu Ye Mujhey Dukh Hai
Hazaaron Maat Jhaili Hain Magar Iss Maat Ka Dukh Hai
Kabhi Poocha Jo Uss Ne Dukh Maira To Keh Diya Mainey
Azl Say Piyasi Mitti Hoon Mujhey Barsaat Ka Dukh Hai
Ye Din To Jaisey Bhi Katt Jaaye Ga Dhal Jaaye Ga Aakhir
Mujhey To Raat Ka Dar Hai Mujhey To Raat Ka Dukh Hai
Woh Jiss Ki Chaah Mein Barbaad Mainey Kar Liya Khud Ko
Faqat Itna Kaha Uss Ne…"Terey Halaat Ka Dukh Hai…"
Mairey Jazbon Ki Ungli Chotr Kar Dil Pay Zakhm Rakha
Mujhey Dil Ki Nahin Parwa, Mujhey Jazbaat Ka Dukh Hai
Teri Aankhein Kahein Kuch Bhi Mujhey Iss Ki Nahin Parwa
Terey Lehjey Ne Keh Di Jo Mujhey Iss Baat Ka Dukh Hai
No comments:
Post a Comment