Tweeter

Tuesday, April 14, 2009

baat niklegi to door talak jayegi

baat niklegi to door talak jayegi
log bewajah udaasi ka sabab poochengey
ye bhi poochengey k tum itni pareshaan kyon ho
ungliyan utthengi sukhey hue baalon ki taraf
ek nazar daalengey guzrey hue saalon ki taraf
choodiyon par bhi kayin tanz kiye jayengey
kaamptey haathon pay fikrey kassey jayengey
log zaalim hain har baat ka taana dengey
baaton baaton mein mera zikr bhi le aayengey
unki baaton ka zara sa bhi asar na lena
warna chehrey key tassavur se jaan jayengey
chaye kuch bhi ho sawalat na karna unsey
mere baarey mein koi baat na karna unsey
baat niklegi to door talak jayegi......

No comments: