Tweeter

Friday, January 15, 2010

Khuda Ne Socha Tha Ke


Khuda Ne Socha Tha Ke Rahenge Sab Insaan Pyaar Se,
Zameen Pe Dekha To Armaan Lut’te Nazar Aate Hain

Juthe Wade Aur Rishton Se Jee Bharta Hai Insaan Ka,
Har Ek Ke Dil Me Bure Paigaam Nazar Aate Hain

Kuch To Rahaim Kiya Hota Khuda Pe Khudgarz Insaano,
Hathon Me Talwaar Liye Sare-Aam Nazar Aate Hain


Had Ho Gayi Hain Ab To Hevaaniyat Ki Duniyan Mein,
Jahaan Bhi Dekho Bas Katle-Aam Nazar Aate Hain

Jo Hath Chhute The Kabhi Maa Ke Pairo Ko Yaaron,
Un Hathon Me Aaj Sirf Bhare Jaam Nazar Aate Hain

Ehmiyat Nahi Hai Aaj Insaan Ko Khuda Ke Paigamo Ki,
Duniya Me Har Jagah Aaj Rishte Badnaam Nazar Aate Hain

Har Insaan Ko Pata Hain Ke “Sab Ka Malik Ek Hai”,
Fir Bhi Aaj Kahin “Rahim” To Kahin “Ram”Nazar Aate Hain


No comments: