Tweeter

Tuesday, November 17, 2009

Kahaan Hai Mohabbat

Ab Kahaan Hai Mohabbat Logon KO, Un Deewaanon Jaisi,.
Wo Daur Majnu, Farhaad, Ranjhon Ka Guzar Gaya,.

Ab Ashiqui Bhi Badalti Hai Mausam Ki Taraah,.
Sab Samajhte Hain, Yahaan Ke Zamaana Sudhar Gaya,.

Sukoon Tha, Doston, Jab JHopdiyon Mein Basera Tha,.
Mehlon Mein Zara Karaar Paane, Na Jaane Kidhar Kidhar Gaya,.

Wo Karta Raha Mujhe Barbaad, Badi Saadgi Ke Saath,.
Main Samajhta Hi Raha, Ke Wo Aabaad Kar Gaya,.

Bachchon Ke Paas Bhi KHilone Hain Hatyaaron Ki Taraah,.
Dekhkar Is Mahaul Ko, Main To Behad Dar Gaya,.

Bhalaai Bankar Reh Gayi, Ek Qissa Puraana “Azeem,.
Jhoot Makkari Hi Dekhta Raha, Main Jidhar Gaya,.

Hain Haath KHoon Se Lat-pat Sab Siyaasat Daanon Ke,.
Wohi Sabse Aage Hain, Jo Kisi Ka Kuch Bigaard Gaya,.

Karke Is Duar Mein Bhalaai Bhi, Main Umr Bhar Sharminda Raha,.
Ek Do Dhoke Dete Hi, Main To Kasam Se Sawar Gaya,.

No comments: