Tweeter

Tuesday, November 17, 2009

Din-Raat Jalati Hai,

Khalish Seene Ki Din-Raat Jalati Hai,
Kashmaksh Raaton Ki Neend Bhi Kha Jati Hai,
Kahin Kio Manzil Nazar Aati Nahi,
Bas Jazbaaton Ke Shor Mein Aankh Khul Jaati Hai,
Vyakul Mann Uske Diye Dard Mein Rota Hai,
Karvatein Badal Badal Ke Is Shab Ko Dhota Hai,
Nam Aankhon Mein Dard Bhi Bheeg Bheeg Jaata Hai,
Uff Magar Gam Ka Paimana Khali Na Ho Pata Hai,
Meri Bechaini Har Pal Kaanto Pe Chalti Hai,
Tapish Zakhmo Ki Labon Se “AAH” Banke Nikalti Hai,
Band Karte Hi Aankhon Mein Simat To Jata Hai Gam,
Magar Sakoon Saanso Ko Kahan Mil Paata Hai,
Bin Aahat Kiye Gam Chala To Aata Hai,
Kya Jaanu Kis Mod Par Mujhse Naata Jod Laata Hai,
Dil Zaar-Zaar Ho Jaata Hai Iske Humsafar Mein,
Magar Kya Majaal Ke Ye Gam Kabhi Mujhko Chod Paata Hai,
Ha-Ha-Kaar Kar Uthta Hai Har Dil Ka Kona,
Masoom Rukhsaron Pe AshQ Dhalak Jaata Hai,
Kaise Khud Ko Sambhalun Yaaron,
Gam-E-Lashkar Ka Sabr-E-Pyaala Bhar Jaata Hai…

Share

No comments: