Tweeter

Friday, May 8, 2009

q preshan hai..

aye dil-e-muztareeb q preshan hai....
dil sambhalne ka koi bhi chaara nahin...
q dhadakta hai tu..q machalta hai tu...
jis ke hum hain wo shayad hamara nahin...
mere dil ke nagar me kayee saal se...
ek maU$am hai pathjhad ka tehra hua...
sirf aankhon me aan$Un chamakte hue...
aur baahon ka tera sahara nahin...
sab ko shikwa hai mUjhse mein hansti nahin...
sard mehri meri zaat se hat ti nahin...
kya bataun mein patthar bani kis tarha...
koi bhi dosh is me hamara nahin...
mere andar ghamon ka hai jungle khada..
roshni ki kiran bhi nahin dur tak...
tu jo aye saare andhere chhatein...
tere bin jaanejaan ... ab guzara nahin....

No comments: