Tweeter

Tuesday, April 14, 2009

woh "main" nahin hoon

Woh aankhon aankhon mian bolti hai
to apnay lehjay main
kachi kalion ki nik;hatain
adh khilay gulabon ka ras
khunak rut main shehad ki mauj gholti hai

woh zer-e-lab muskara rahi ho
to aisay lagta hai
jaisay sham-o-sehar galay mil kay an sunni lay main gungunain
saba ki zulfain khilain
sitaron kay taar sanson main jhunjhunain

woh abro;on ki kaman kay saaey main
chahaton say atti dhoop
rahaton main khilli hui chandni
kay mausam nikharti hai

woh dil main khwahish ki lehar leti ziddain
khayalon ki kirchian tak utartin hai!
hawa ki aawargi kay humrah apni zulfain sanwarti hai!!

kabhi woh apnay badan pe ujli ruton ka resham pehan kay niklay
to kitnay rangon kay daairay
silvaton ki soorat main toot;tay hain
woh lab hilaaey to phool jhartay hain
uss ki batain kunj-e-dayar-e-yaaqoot say shuaaon kay an ginat
taar phhoot;tay hain

woh sar say paaoon talak
dhanak, dhoop, chandni hai!
dhulay dhulay maussamon ki be sakhta
ghazal bakht shairee hai!!
(meray hunar kay sabhi asaason say qeemti hai)

woh mujh main ghul mil gaee hai laikin
abhi talak mujh say ajnabi hai
kissi adhoori ghari main
jab jab woh be iradah mohabbaton kay
chhupay chhupay bhaid kholti hai!

to dil yeh kehta hai
jis ki khatir woh apni "sansain"
wafa ki sooli pe taulti hai
woh aasaam zaad, kehkashan bakht----(kuchh bhi keh lo----!)

jo uski chahat ka "aasra" hai
woh "main" nahin hoon
koi to hai jo meray siwa hai
woh shehar bhar kay tamam "chehron" say hatt kat
ik "aur meharbaan" hai
jo uski khwahish ka "aasmaan" hai
(kissay khabar kaun hai, kahan hai?)

magar mujhay kia?
keh main zameen hoon!
woh jis ki chahat main apni sansain lutta rahi hai
woh "main" nahin hoon
woh aankhon aankhon main bolti hai!!!

No comments: