Lazzat-e-zakhm-e-jigar tujh se chhupa bhi na sakoon
Dard is darja barha hai ke bata bhi na sakoon
Aaj rukhsat hua jaata hoon bas itna kah ke
Main gaya waqt nahin hoon ke phir aa bhi na sakoon
Tohfa-e-ishq jo zakhmon ka diya hai tu ne
Yeh tere harf hain jin ko main mita bhi na sakoon
Woh tere khat tujhe waapis main karoonga jin ko
Khud to parhta nahin auron ko suna bhi na sakoon
Teri furqat mein yehi haal hua hai apna
Khud sambhal bhi na sakoon tujh ko bhula bhi na sakoon
Yeh gham-e-dil jo zamane se mila hai mujh ko
Zeest ka baar hai aisa ke utha bhi na sakoon
Zikr kyon karte ho be wajh tum unka hum se
Door itna hai ke paas usko bula bhi na sakoon
Aaj maikhane mein mil jaayen jo mujh ko Ghalib
Zahid-e-khushk nahin hoon ke pila bhi na sakoon
Jalte rahne do yeh deepak jo ba Shakl-e-Fahad
Ek akela hi bacha hai ke bujha bhi na sakoon
No comments:
Post a Comment