titlion k mosam mein, nochna gulaboon ka
reet is nagar ki hai aur jany kab sa hai
deekh kar parindoon ko, bandhna nishanoo ka
reet is nagar ki hai aur jany kab sa hai
...
tum abhi naye ho na, is liye pareshaan hi
asmaan ki janib, is tarha sa mat dekho
afteein jab aani hoon, totna sitaroon ka
reet is nagar ki hai aur jany kab sa hai
..
shehar ka yah bashinda, nafratoon ko boo kar bhi
intizaar karta hai, fasal ho muhabbat ki
choor kar haqiqat ko, dhondna saraboon ka
reet is nagar ki hai aur jany kab sa hai
..
ajanbi musafir sa, ajnabi fizaoon mein
apne har ta'aluq ko, daimi bana lena
aur jab bicharna to, mangna duaoon ka
reet is nagar ki hai aur jany kab sa hai
No comments:
Post a Comment