Tweeter

Tuesday, April 14, 2009

Raston Ki Khabar

Raston Ki Khabar Thi Na Pata Manzilon Ka Tha
Be-kaar Sobatein Safar Ki Jhailta Raha

Shamil Raha Safar Mein Jissey Jaan Kar Habeeb
Woh Na-khuda Hi Dil Say Mairey Khailta Raha

Lamhon Ki Khata Thi, Saza Sadiyon Ne Uthaai
Daaera Judaiyon Ka Faqat Phailta Raha

Utrey Ke Jaanein Raz-e-Gehraai-e-Girdaab
Saahil Pay Samandar Hamain Dhakailta Raha

Tab Ja Ke Jaana Raz-e-Mohabbat Hai Kya Bhala
Darya Samandaron Mein Khud Ko Undailta Raha

No comments: