Rasta bi kathan, Dhoop main shiddat bi boht thi
saye se magar us ko mohabbat bi boht thi
khaimay na koi meray musafir kay jalaye
zakhmi tha boht paoon, musafat bi boht thi
sab dost meray mutazir parda-e-shab they
din main to safar karne main diqqat bi boht thi
barish ki duaoon main nami Aankh ki mil jaye
jazbay ki kabhi itni rafaqat bhi boht thi
kuch to teray mosam hee mujhay raas kam aaye
aor kuch meri mitti main baghawat bhi boht thi
pholon ka bikharna to muqaddar hee tha lekin
kuch is main hawaoon ki siyasat bhi boht thi
woh bhi sar-e-maqtal hai ke such jiss ka tha shahid
aor waqif-e-ahwal adalat bhi boht thi
is tark-e-rafaqat pe pareshaan to hoon lekin
ab tak ke teray sath pe herat pe boht thi
khush aaye tujhay shehr-e-mnafaq ki ameeri
hum logon ko such kehnay ki aadat bi boht thi
No comments:
Post a Comment