mare dil ke raakh kuraid mat, iss muskura kay hawa na day
yeh charagh phir bhi charagh hai kaheen tera hath jala na day
naye door kay naye khawb hain, naye mousmoon k gulaab hain
yeah mohabtoon k charagh hain inhain nafratoon ke hawa na day
zara dekh chand ke patiyoon nay bikhar bikhar kar tamaam shab
tera naam likha hai raet par koi lehar aa kar mitta na day
mein udaasiyaan na saja sakoon kabhi jisam o jaan k mizar par
na diya jallain mere ankh mein mujhay itni sakhat saza na day
mere sath chalne k shouq main bari dhoop sar pay uthaye ga
tera naak naqsha hai moum ka kaheen gham ke aag bhulla na day
mein ghazal ke shabnami ankh say yeah dukhoon kay phool chuna karon
mere sultanat mera fun rahay mujhe taj o takhat khuda na day..
No comments:
Post a Comment