> Humesha muskura kay aansooun ko chupaya
> Ghum ko chupanay ka yehi rasta nazar aaya
>
> Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
> Kay derd-e-dil dil main kis nay jagaya
>
> Mehfilon main kahin bhi maza na raha
> Rakha dil pay pather to khud ko sajaya
>
> Baat bay baat apni aahain daba ker
> Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya
>
> Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
> Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya
>
> Kya muqadar say shikwa kertey rahain
> Jo qismat main tha wohi kuch to paaya
>
> Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
> Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya
>
> Apnoon nay palat kay daykha tak nahin
> Ghairon nay aaker galay say lagaaya
>
> Acha hua kay raaz khul hi gaya
> Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya
>
> Shab-o-roz chahat sila yeh hay muntazar
> Dil kay tukrey huay wo chunney na aaye
No comments:
Post a Comment