Tweeter

Tuesday, April 14, 2009

Hosla dobtay mousam ka barrha deta hai

Hosla dobtay mousam ka barrha deta hai
phool shakhon pay wo bar'waqt khila deta hai
.
.
aik manzil hai kay suuraj say bhi khoo jaati hai
aik rasta hai kay jugnoo bhi dikha deta hai
.
.
dard seenay main jo damm lay to ghaneemat warna
yeh wo sholaa hai jisay habss hawa deta hai
.
.
wo jo suuraj ko ubharnay nahin deta shabb bhar
subha hotay hi wo mehtaab bujha deta hai
.
.
wus'att-e-dast bata, kon meray rastay main
rooz diwaar bagolon ki uthha deta hai
.
.
gunbadd-e-shabb main laraztee hai eri tanhaai
jiss main rah'roo koi apno ko sada deta hai
.
.
jis ko tufaaN say ulajhnay ki ho aadat Mohsin.!
aisi kishtee ko samandar bhi dua deta hai

No comments: