Tweeter

Monday, April 13, 2009

Gaye dino ka suraag

Gaye dino ka suraag lekar kidhar se aaya kidhar gayaa wo
ajeeb manoos ajnabi tha mujhe to hairaan kar gayaa wo

Khushi ki rut ho ke gam ka mausam nazar usse dhoondti hai hardum
wo boo-e-gul tha ke nagma-e-jaan mere to dil mein utar gayaa wo

wo maikade ko jagaane waala wo raat ki neend udaane waala
na jaane kya uss ke jee mein aayee ki shaam hote hi ghar gayaa wo

kuch ab sambhalane lagi hai jaan bhi badal chala rang aasmaan bhi
jo raat bhaari thi tal gayee hai jo din kadaa tha guzar gayaa wo

shikastapaa raah mein khadaa hoon gaye dino ko bula raha hoon
jo qaafila mera hamsafar tha misl-e-gard-e-safar gayaa wo

bas ek manzil hai bulhavas ki hazaar raste hain ahl-e-dil ke
ye hi to hai farq mujh mein uss mein guzar gayaa main thahar gayaa wo

na ab wo yaadon ka chadhta dariya na fursaton ki udaas barkha
yoon hi zara si kasak hai dil mein jo zakhm gehra thaa bhar gaya wo

wo raat ka benawaa musafir wo tera shaayar wo tera 'Nasir'
teri gali tak to hum ne dekha phir na jaane kidhar gaya wo

No comments: